nazr-e-iqbaal
ai mire āgahī ke payambar
maiñ tujhe kaun se harf kī nazr duuñ
harf banjar haiñ
jazboñ se sachchā.iyāñ chhin ga.iiñ
ḳhvāb uḌtī huī dhuul kī tarah
āñkhoñ meñ chubhte haiñ
goyā zabāñ ret kā ek tuudā
bayāñ saḳht pathrīle sāhil pe phailī huī
be-samar jhāḌiyāñ
apne be-faiz saa.e se ḳhud munjamid
fahm-o-idrāk-o-ehsās yuuñ be-asar
jaise maiñ ik khañDar
aur tū mujh meñ lafzoñ kā zinda shajar
apnī pur-pech bāñhoñ se sāya-fagan
aur maiñ be-ḳhabar
mere zinda shajar
tere saa.e meñ ā.indagāñ kī mahak
terī sarsar meñ bhī raftagāñ kī garaj
tere phal-phūl dahkī huī āgahī
āgahī se numū aur numū se ḳhudī
munjamid mausamoñ meñ hamāre liye
raushnī kī ḳhabar
mere zinda shajar
mere zinda shajar
ai mere aagahi ke payambar
main tujhe kaun se harf ki nazr dun
harf banjar hain
jazbon se sachchaiyan chhin gain
KHwab uDti hui dhul ki tarah
aankhon mein chubhte hain
goya zaban ret ka ek tuda
bayan saKHt pathrile sahil pe phaili hui
be-samar jhaDiyan
apne be-faiz sae se KHud munjamid
fahm-o-idrak-o-ehsas yun be-asar
jaise main ek khanDar
aur tu mujh mein lafzon ka zinda shajar
apni pur-pech banhon se saya-fagan
aur main be-KHabar
mere zinda shajar
tere sae mein aaindagan ki mahak
teri sarsar mein bhi raftagan ki garaj
tere phal-phul dahki hui aagahi
aagahi se numu aur numu se KHudi
munjamid mausamon mein hamare liye
raushni ki KHabar
mere zinda shajar
mere zinda shajar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.