nazr-e-iqbaal
vo ik mufakkir-e-azīm shā.ir
thā vo iqbāl shā.iroñ kā
vo zindagānī kā rāz-dāñ
vo kāmrānī kā naġhma-ḳhvāñ
maqbūl thā hind-o-pāk meñ vo yaksāñ
tarāna-e-hind kā vo ḳhāliq
vo falsafī thā vo rahnumā thā
diyā falsafa jis ne ḳhudī-o-be-ḳhudī kā
tamām duniyā ke nazm-hā-e-siyāsat
tamām duniyā ke nuqta-hā-e-nazar
the us kī chashm-e-bīnā meñ raushan
thā magar vo āshiq-e-asia
harīf thā ahl-e-maġhrib kā vo
ḳhitāb jis ko diyā thā qaum ne us kī
vahī thā shā.ir-e-mashriq
thā vo muballiġh islām kā be-shak
ki islām hai amn-o-rāhat kā maz.hab
vo thā ik mard-e-kāmil insāñ mukammal
garche thā barahman-zāda kashmīr kā
nazar meñ us kī thā devtā sā
vatan kī miTTī kā har ek zarra
ḳhirad thī us kī nigāh meñ hech-o-past
junūn-e-ishq kā thā vo dil se qaa.il
vo thā ik paiġhambar ilm-o-amal kā
thī na mahdūd shā.erī us kī
na thā mahdūd dā.era us ke paiġhām kā
the muḳhātab us ke saarī duniyā ke ām-o-ḳhās
kisānoñ mazdūroñ kā thā vo haamī
kah gayā vo apne sher meñ
jis khet se dahqāñ ko mayassar na ho rozī
us khet ke har ḳhosha-e-gandum ko jalā do
wo ek mufakkir-e-azim shair
tha wo iqbaal shairon ka
wo zindagani ka raaz-dan
wo kaamrani ka naghma-KHwan
maqbul tha hind-o-pak mein wo yaksan
tarana-e-hind ka wo KHaliq
wo falsafi tha wo rahnuma tha
diya falsafa jis ne KHudi-o-be-KHudi ka
tamam duniya ke nazm-ha-e-siyasat
tamam duniya ke nuqta-ha-e-nazar
the us ki chashm-e-bina mein raushan
tha magar wo aashiq-e-asia
harif tha ahl-e-maghrib ka wo
KHitab jis ko diya tha qaum ne us ki
wahi tha shair-e-mashriq
tha wo muballigh islam ka be-shak
ki islam hai amn-o-rahat ka mazhab
wo tha ek mard-e-kaamil insan mukammal
garche tha barahman-zada kashmir ka
nazar mein us ki tha dewta sa
watan ki miTTi ka har ek zarra
KHirad thi us ki nigah mein hech-o-past
junun-e-ishq ka tha wo dil se qail
wo tha ek paighambar ilm-o-amal ka
thi na mahdud shaeri us ki
na tha mahdud daera us ke paigham ka
the muKHatab us ke sari duniya ke aam-o-KHas
kisanon mazduron ka tha wo hami
kah gaya wo apne sher mein
jis khet se dahqan ko mayassar na ho rozi
us khet ke har KHosha-e-gandum ko jala do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.