nazr-e-Khaalida
dil masarrat kī farāvānī se dīvāna hai aaj
dekhnā ye kaun āḳhir zeb-e-Kāshana hai aaj
Kaif-e-sehba-e-Tarab meñ ġharq-e-maiḳhāna hai aaj
har shajar sāqī-e-mai har phuul paimāna hai aaj
ġhuncha-o-gul the yahī lekin ye ra.anā.ī na thī
is gulistāñ meñ bahār is dhuum se aa.ī na thī
nargis-e-maḳhmūr hai lazzat-e-kash-e-khāb-e-nishāt
phuuT niklā hai gul-e-nasrīñ se sailāb-e-nashāt
ahl-e-mahfil ke liye mushkil hai ab tāb-e-nashāt
aaj paimānoñ se chhalkegī mai-e-nāb-e-nashāt
par-fishāñ hai jazba-e-pinhāñ ubharne ke liye
muztarib hai zarra zarra raqs karne ke liye
phir idhar aa.e na aa.e ye shamīm-e-jāñ-fazā
phir mayassar ho na ho aisā samāñ aisī havā
chheḌ is andāz se ai mutrib-e-rañgīñ-navā
TuuT jaa.e aaj ik ik taar tere saaz kā
zikr jis kā zohra-o-parvīñ ke kāshāne meñ hai
vo sanam bhī aaj apne hī sanam-ḳhāne meñ hai
ḳhālida tū hai bahisht-e-turkmānī kī bahār
terī peshānī pe nūr-e-hurriyat-e-ā.īna-kār
tere ruḳh se partav-e-ma.asōm-e-mariyam āshkār
tere javoñ kī sabāhat se farishte sharmsār
gul pashemāñ qalb-e-bulbul rashk se do-nīm hai
terī bātoñ meñ ḳhumār-e-kausar-o-tasnīm haiñ
yuuñ to ham har sham-e-ilm-o-fan ke parvāne rahe
ye haqīqat hai ki ham tere bhī dīvāne rahe
muddatoñ apnī zabāñ par tere afsāne rahe
tū rahī begāna lekin ham na begāne rahe
yaad terī ik zamāne se hamārī dil meñ thī
tū yahāñ aane se pahle bhī isī mahfil meñ thī
shauq kī shorish jamāl-o-nūr kā sailāb hai
har kalī sāz-e-tarab hai har nazar mizrāb hai
aañkh hairāñ rūh-e-arbāb-e-vafā betāb hai
ye hamāre ḳhvāb kī ta.abīr hai ye ḳhvāb hai
lāla-o-gul kyā chaman bhī tere qadmoñ par nisār
ye guhar-hā-e-suḳhan bhī tere qadmoñ par nisār
ai muqaddas huur ai parvarda-e-mauj-e-nasīm
rūh-e-ishrate-gāh-e-sāhil jān-e-tūfān-e-azīm
tū ne turkoñ ko dikhā.ī hai sirāt-e-mustaqīm
phūñk Daale haiñ ta.assub ke hijābāt-e-qadīm
zo.af dikhlā.ī hai jab bhī fitrat-e-ahrār ne
aag barsā dī hai tere nutq-e-gauhar-bār ne
rah chukī hai haath meñ tere vo teġh-e-be-niyām
jis kī jumbish ne badal Daalā hukūmat kā nizām
tark-e-uftāda ko tū ne hī diyā izn-e-ḳhirām
tere hī hāthoñ ne chhalkā.e haiñ āzādī ke jaam
tū ne jo ehsāñ kiyā haiñ millat-e-ahrār par
naqsh haiñ ab tak sañvarnā ke dar-o-dīvār par
haañ batā de ham ko bhī ai rūh-e-arbāb-e-niyāz
kis tarah miTtā hai āḳhir rang-o-ḳhūñ kā imtiyāz
dil pe kyuuñ kar faash ho jaate haiñ āzādī ke raaz
chheḌte haiñ kis tarah mahfil meñ.... bedārī kā saaz
terī āñkhoñ meñ surūr-e-ishrat-e-jamhūr hai
aah ye jauhar hamārī dastaras se duur hai
mahram-e-dard-o-masarrat rāz-dār-e-sub.h-o-shām
mahfil-e-fitrat kī ḳhamoshī hai tujh se ham-kalām
terī hastī āsmān-e-tark kā māh-e-tamām
tū mohabbat har nafas terā mohabbat kā payām
gulshan-e-mashriq meñ manind-e-saba aa.ī hai tū
sub.h-e-raushan kā payām-e-jān-fazā laa.ī hai tū
qurbat-e-gul kis qadar jāñ-baḳhsh hai ḳhāroñ se pūchh
chāñd kī tanvīr meñ kyā lutf hai tāroñ se pūchh
nashsha-e-sahbā meñ kyā lazzat hai mai-ḳhāroñ se pūchh
chārasāzī meñ maza kyā kyā hai bīmāroñ se pūchh
rūh-o-dil ko jagmagā de jalva ārā.ī tirī
kam se kam itnā to kar jaa.e masīhā.ī tirī
koī dam meñ is gulistāñ se nikalnā hai hameñ
farsh-e-gul se duur añgāroñ pe chalnā hai hameñ
ḳhār-zār-e-ġham ko pairoñ se kuchalnā hai hameñ
jāda-e-manzil meñ girnā hai sambhalnā hai hameñ
dars aisā de ke dil āzurda-e-manzil na ho
fikr-e-lā-hāsil na ho andesha-e-bātil na ho
dil masarrat ki farawani se diwana hai aaj
dekhna ye kaun aaKHir zeb-e-Kashana hai aaj
Kaif-e-sehba-e-Tarab mein gharq-e-maiKHana hai aaj
har shajar saqi-e-mai har phul paimana hai aaj
ghuncha-o-gul the yahi lekin ye ranai na thi
is gulistan mein bahaar is dhum se aai na thi
nargis-e-maKHmur hai lazzat-e-kash-e-khab-e-nishat
phuT nikla hai gul-e-nasrin se sailab-e-nashat
ahl-e-mahfil ke liye mushkil hai ab tab-e-nashat
aaj paimanon se chhalkegi mai-e-nab-e-nashat
par-fishan hai jazba-e-pinhan ubharne ke liye
muztarib hai zarra zarra raqs karne ke liye
phir idhar aae na aae ye shamim-e-jaan-faza
phir mayassar ho na ho aisa saman aisi hawa
chheD is andaz se ai mutrib-e-rangin-nawa
TuT jae aaj ek ek tar tere saz ka
zikr jis ka zohra-o-parwin ke kashane mein hai
wo sanam bhi aaj apne hi sanam-KHane mein hai
KHalida tu hai bahisht-e-turkmani ki bahaar
teri peshani pe nur-e-hurriyat-e-aina-kar
tere ruKH se partaw-e-masoom-e-mariyam aashkar
tere jawon ki sabahat se farishte sharmsar
gul pasheman qalb-e-bulbul rashk se do-nim hai
teri baaton mein KHumar-e-kausar-o-tasnim hain
yun to hum har sham-e-ilm-o-fan ke parwane rahe
ye haqiqat hai ki hum tere bhi diwane rahe
muddaton apni zaban par tere afsane rahe
tu rahi begana lekin hum na begane rahe
yaad teri ek zamane se hamari dil mein thi
tu yahan aane se pahle bhi isi mahfil mein thi
shauq ki shorish jamal-o-nur ka sailab hai
har kali saz-e-tarab hai har nazar mizrab hai
aankh hairan ruh-e-arbab-e-wafa betab hai
ye hamare KHwab ki tabir hai ye KHwab hai
lala-o-gul kya chaman bhi tere qadmon par nisar
ye guhar-ha-e-suKHan bhi tere qadmon par nisar
ai muqaddas hur ai parwarda-e-mauj-e-nasim
ruh-e-ishrate-gah-e-sahil jaan-e-tufan-e-azim
tu ne turkon ko dikhai hai siraat-e-mustaqim
phunk Dale hain tassub ke hijabaat-e-qadim
zoaf dikhlai hai jab bhi fitrat-e-ahrar ne
aag barsa di hai tere nutq-e-gauhar-bar ne
rah chuki hai hath mein tere wo tegh-e-be-niyam
jis ki jumbish ne badal Dala hukumat ka nizam
tark-e-uftada ko tu ne hi diya izn-e-KHiram
tere hi hathon ne chhalkae hain aazadi ke jam
tu ne jo ehsan kiya hain millat-e-ahrar par
naqsh hain ab tak sanwarna ke dar-o-diwar par
han bata de hum ko bhi ai ruh-e-arbab-e-niyaz
kis tarah miTta hai aaKHir rang-o-KHun ka imtiyaz
dil pe kyun kar fash ho jate hain aazadi ke raaz
chheDte hain kis tarah mahfil mein bedari ka saz
teri aankhon mein surur-e-ishrat-e-jamhur hai
aah ye jauhar hamari dastaras se dur hai
mahram-e-dard-o-masarrat raaz-dar-e-subh-o-sham
mahfil-e-fitrat ki KHamoshi hai tujh se ham-kalam
teri hasti aasman-e-tark ka mah-e-tamam
tu mohabbat har nafas tera mohabbat ka payam
gulshan-e-mashriq mein manind-e-saba aai hai tu
subh-e-raushan ka payam-e-jaan-faza lai hai tu
qurbat-e-gul kis qadar jaan-baKHsh hai KHaron se puchh
chand ki tanwir mein kya lutf hai taron se puchh
nashsha-e-sahba mein kya lazzat hai mai-KHaron se puchh
chaarasazi mein maza kya kya hai bimaron se puchh
ruh-o-dil ko jagmaga de jalwa aarai teri
kam se kam itna to kar jae masihai teri
koi dam mein is gulistan se nikalna hai hamein
farsh-e-gul se dur angaron pe chalna hai hamein
KHar-zar-e-gham ko pairon se kuchalna hai hamein
jada-e-manzil mein girna hai sambhalna hai hamein
dars aisa de ke dil aazurda-e-manzil na ho
fikr-e-la-hasil na ho andesha-e-baatil na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.