nazr-e-nanak
hind meñ saikḌoñ paidā hue yuuñ to rahbar
kaun saanī hai tirā kaun hai terā ham-sar
jab bhī tārīḳh ke safhāt ulaT kar dekhe
sirf nezoñ pe saje ham ne vahāñ sar dekhe
koī insān kī azmat kā parastār nahīñ
koī bhī jins-e-mohabbat kā ḳharīdār nahīñ
haañ magar tujh pe nazar aa ke Thahar jaatī hai
tere har lafz se iḳhlās kī bū aatī hai
tū muvahhid hai ki rahmat hai tirī fikr-o-nazar
jis kā punjab pe saaya hai vahī tū hai shajar
mehr-e-aḳhlāq se utrā tū ujālā ban kar
arz-e-punjab kī qismat kā sitārā ban kar
qalb-e-insāñ ko mohabbat kā ḳhazāna baḳhshā
nutq-e-ranjīda ko ḳhushiyoñ kā tarāna baḳhshā
qasr-e-tauhīd kā ik burj-e-munavvar tū hai
gulshan-e-haq ke liye bū-e-gul-e-tar tū hai
tere paiġhām se har pīr-o-javāñ vāqif hai
ek punjab hī kyā saarā jahāñ vāqif hai
hind mein saikDon paida hue yun to rahbar
kaun sani hai tera kaun hai tera ham-sar
jab bhi tariKH ke safhat ulaT kar dekhe
sirf nezon pe saje hum ne wahan sar dekhe
koi insan ki azmat ka parastar nahin
koi bhi jins-e-mohabbat ka KHaridar nahin
han magar tujh pe nazar aa ke Thahar jati hai
tere har lafz se iKHlas ki bu aati hai
tu muwahhid hai ki rahmat hai teri fikr-o-nazar
jis ka punjab pe saya hai wahi tu hai shajar
mehr-e-aKHlaq se utra tu ujala ban kar
arz-e-punjab ki qismat ka sitara ban kar
qalb-e-insan ko mohabbat ka KHazana baKHsha
nutq-e-ranjida ko KHushiyon ka tarana baKHsha
qasr-e-tauhid ka ek burj-e-munawwar tu hai
gulshan-e-haq ke liye bu-e-gul-e-tar tu hai
tere paigham se har pir-o-jawan waqif hai
ek punjab hi kya sara jahan waqif hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.