nazr-e-sahir
Interesting Fact
حضرت ساحر شکار پوری کی ۷۵ ویں سالگرہ کے موقع پر
vajd meñ hai jahān-e-sher-o-suḳhan
sehr-e-sāhir kī hukmrānī hai
chashma-e-faiz shā.erī us kī
us ke har sher meñ ravānī hai
us kī piirī hai tarjumān-e-shabāb
us ke sheroñ meñ naujavānī hai
ahl-e-mahfil haiñ jis ke shaidā.ī
us kā andāz ḳhush-bayānī hai
ye husainī hai barhaman hamdam
us kā har sher jāvedānī hai
us kā īmāñ hai jān-e-yak-jehtī
us kī fitrat meñ mehrbānī hai
dil ye hindū kā jaañ musalmāñ kī
ye sifat us kī ḳhāndānī hai
jin buzurgoñ pe thā vatan ko naaz
un buzurgoñ kī ye nishānī hai
us pe saaya hai kāmyābī kā
us kī qismat meñ kāmrānī hai
'ja.afarī' shā.erī meñ 'sāhir' kī
har dukhī dil kī tarjumānī hai
wajd mein hai jahan-e-sher-o-suKHan
sehr-e-sahir ki hukmrani hai
chashma-e-faiz shaeri us ki
us ke har sher mein rawani hai
us ki piri hai tarjuman-e-shabab
us ke sheron mein naujawani hai
ahl-e-mahfil hain jis ke shaidai
us ka andaz KHush-bayani hai
ye husaini hai barhaman hamdam
us ka har sher jawedani hai
us ka iman hai jaan-e-yak-jehti
us ki fitrat mein mehrbani hai
dil ye hindu ka jaan musalman ki
ye sifat us ki KHandani hai
jin buzurgon pe tha watan ko naz
un buzurgon ki ye nishani hai
us pe saya hai kaamyabi ka
us ki qismat mein kaamrani hai
'jafari' shaeri mein 'sahir' ki
har dukhi dil ki tarjumani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.