Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazr-e-sauda

Sahba lakhnavi

nazr-e-sauda

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    kahne ko aam rasm-e-shikāyāt ho ga.ī

    lab tak na aa.ī baat magar baat ho ga.ī

    hañs hañs ke liye ġham-e-daurāñ ke talḳh jaam

    yuuñ sāzgār gardish-e-hālāt ho ga.ī

    zindāñ shab nazar ke ujāle ḳhayāl-e-dost

    yakjā hue to pursish-e-hālāt ho ga.ī

    mahviyyat-e-hikāyat-e-daurāñ na pochhiye

    kab din huā ḳhabar nahīñ kab raat ho ga.ī

    jo āsmāñ-nashīñ haiñ unheñ is ilm hai

    jab bhī zamīñ par aa.e unheñ maat ho ga.ī

    gulshan qafas bahār garebāñ junūñ ḳhirad

    marbūt in se bazm-e-ḳharābāt ho ga.ī

    'sahbā' asar nigāh allāh re kashmakash

    nīñdoñ meñ kaif-o-kam shurūāt ho ga.ī

    kahne ko aam rasm-e-shikayat ho gai

    lab tak na aai baat magar baat ho gai

    hans hans ke pi liye gham-e-dauran ke talKH jam

    yun sazgar gardish-e-haalat ho gai

    zindan ki shab nazar ke ujale KHayal-e-dost

    yakja hue to pursish-e-haalat ho gai

    mahwiyyat-e-hikayat-e-dauran na pochhiye

    kab din hua KHabar nahin kab raat ho gai

    jo aasman-nashin hain unhen is ka ilm hai

    jab bhi zamin par aae unhen mat ho gai

    gulshan qafas bahaar gareban junun KHirad

    marbut in se bazm-e-KHarabaat ho gai

    'sahba' asar nigah ki allah re kashmakash

    nindon mein kaif-o-kam ki shuruat ho gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now