nazr-e-tagore
kyā naġhma-hā-e-kaif kā dariyā bahā gayā
ḳhud husn ko jahāñ meñ hasīñ-tar banā gayā
ai shā.ir-e-shabāb-o-navv-sanj-e-zindagī
misl-e-bahār aa ke tū aalam pe chhā gayā
tū husn kī nigāh thā aur ishq kī zabāñ
gītoñ meñ rañg-o-rūp kī duniyā basā gayā
rañgīniyāñ bahār kī har sū bikhar ga.ī
be-kaifī-e-ḳhizāñ kā kabhī rañg chhā gayā
TuuTe hue diloñ kī sadā lab pe aa ga.ī
naġhma kabhī tū kaif-o-masarrat kā gā gayā
insāñ ke ġham meñ sīna-e-qudrat bhī shaq huā
maañ kī tarah se maut ko bhī pyaar aa gayā
afsurda zindagī ko milī tujh se tāzgī
jo dil taḌap rahā thā vo ārām pā gayā
tū kar ke sar-buland vatan ke vaqār ko
dil meñ har ek fard-e-vatan ke samā gayā
hindostāñ ko de ke do-ālam kī azmateñ
tū be-navā faqīr sā gaatā chalā gayā
kya naghma-ha-e-kaif ka dariya baha gaya
KHud husn ko jahan mein hasin-tar bana gaya
ai shair-e-shabab-o-naww-sanj-e-zindagi
misl-e-bahaar aa ke tu aalam pe chha gaya
tu husn ki nigah tha aur ishq ki zaban
giton mein rang-o-rup ki duniya basa gaya
ranginiyan bahaar ki har su bikhar gai
be-kaifi-e-KHizan ka kabhi rang chha gaya
TuTe hue dilon ki sada lab pe aa gai
naghma kabhi tu kaif-o-masarrat ka ga gaya
insan ke gham mein sina-e-qudrat bhi shaq hua
man ki tarah se maut ko bhi pyar aa gaya
afsurda zindagi ko mili tujh se tazgi
jo dil taDap raha tha wo aaram pa gaya
tu kar ke sar-buland watan ke waqar ko
dil mein har ek fard-e-watan ke sama gaya
hindostan ko de ke do-alam ki azmaten
tu be-nawa faqir sa gata chala gaya
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 104)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.