nazr-e-tagore
mirī kalā merī shā.irī mere fan kā us ko salām pahuñche
ki jis ne mashriq kī azmatoñ ko atā kiye zindagī ke paikar
jo satvateñ ḳhvāb ho chukī thiiñ jo rif.ateñ past ho chukī thiiñ
unheñ jagā kar unheñ sajā kar banā diyā āsmāñ kā ham-sar
bhaTak rahī thī vatan kī hastī ġhulām rūhoñ ke kārvāñ meñ
shu.ūr-e-āzādī us ko de kar banā diyā asr-e-nau kā rahbar
mirī navāoñ meñ shoḳh tarz-e-suḳhan kā us ko salām pahoñche
ki jis ne mashriq kī sarzamīñ ko na.e jahāñ kā ufuq banāyā
nizām-e-tahsīl-e-ilm badlā nayā tasavvur adab ko baḳhshā
lalit-kalāoñ ko shāñtī ke hasīn unvān se sajāyā
shafaq kī mehñdī dhanak ke kañgan churā.e aur kahkashāñ kī afshāñ
baḌe jatan se hasīna-e-shā.irī ko jis ne dulhan banāyā
'sarosh' mere shu.ūr ke bāñkpan kā us ko salām pahuñche
sharāb-e-mashriq ke jaam chhalkā.e jis ne maġhrib ke mai-kadoñ meñ
musavvir-e-tal.at-e-nigārāñ muġhannī-e-shaukat-e-bahārāñ
haiñ maujzan kā.enāt ke dil kī dhaḌkaneñ jis ke chahchahoñ meñ
sukūt-e-shab raqs-e-māh-o-anjum fazā ke shāne sabā kī zulfeñ
nigār-e-fitrat kī har adā kā jamāl hai jis ke zamzamoñ meñ
maiñ rūh-e-tagore tere dar par aqīdat-e-sar jhukā rahā huuñ
tire tasavvur meñ naġhma-zan huuñ maiñ terī hī lai meñ gā rahā huuñ
tire taḳhayyul tire tafakkur tire tadabbur ke phuul chun kar
maiñ apne fan apne daur apne vatan kī mahfil sajā rahā huuñ
meri kala meri shairi mere fan ka us ko salam pahunche
ki jis ne mashriq ki azmaton ko ata kiye zindagi ke paikar
jo satwaten KHwab ho chuki thin jo rifaten past ho chuki thin
unhen jaga kar unhen saja kar bana diya aasman ka ham-sar
bhaTak rahi thi watan ki hasti ghulam ruhon ke karwan mein
shuur-e-azadi us ko de kar bana diya asr-e-nau ka rahbar
meri nawaon mein shoKH tarz-e-suKHan ka us ko salam pahonche
ki jis ne mashriq ki sarzamin ko nae jahan ka ufuq banaya
nizam-e-tahsil-e-ilm badla naya tasawwur adab ko baKHsha
lalit-kalaon ko shanti ke hasin unwan se sajaya
shafaq ki mehndi dhanak ke kangan churae aur kahkashan ki afshan
baDe jatan se hasina-e-shairi ko jis ne dulhan banaya
'sarosh' mere shuur ke bankpan ka us ko salam pahunche
sharab-e-mashriq ke jam chhalkae jis ne maghrib ke mai-kadon mein
musawwir-e-talat-e-nigaran mughanni-e-shaukat-e-bahaaran
hain maujzan kaenat ke dil ki dhaDkanen jis ke chahchahon mein
sukut-e-shab raqs-e-mah-o-anjum faza ke shane saba ki zulfen
nigar-e-fitrat ki har ada ka jamal hai jis ke zamzamon mein
main ruh-e-tagore tere dar par aqidat-e-sar jhuka raha hun
tere tasawwur mein naghma-zan hun main teri hi lai mein ga raha hun
tere taKHayyul tere tafakkur tere tadabbur ke phul chun kar
main apne fan apne daur apne watan ki mahfil saja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.