nazrana-e-KHulus
Interesting Fact
(ایک شاعر دوست کی شادی پر)
raat kī shāḳh pe khilte hue tāroñ ke gulāb
nik.hat-o-nūr kī manzil kā pata dete haiñ
saaz betāb hai mizrāb kī jumbish ke liye
giit raqqāsa-e-hastī ko sadā dete haiñ
jis kī āvāz meñ fardā kī khanak shāmil hai
ik ubharte hue sūraj kī chamak shāmil hai
jis kī tābish se shuāoñ kī phuvāreñ phūTīñ
jis se pur-haul añdheroñ kā jigar kaañp uThe
phuul kī tarah subuk teġh kī mānind girāñ
jis ke ehsās se zulmat kī sipar kaañp uThe
jis ke saa.e meñ umīdoñ ko javāñ honā hai
rif.at-e-ishq ko sarmāya-e-jāñ honā hai
zindagī Thos haqīqat hai koī ḳhvāb nahīñ
phir bhī ik umr banī rahtī hai dīvāne kā ḳhvāb
in haqā.eq ko bhalā kaun bhulā saktā hai
saḳht hālāt ke tapte hue vīrāne kā ḳhvāb
bistar-e-maḳhmal-o-sanjāb bhī yaad aatā hai
ġham-o-ālām kā zahrāb bhī yaad aatā hai
ye mahakte hue gajre ye lahakte hue phuul
in pe mustaqbil-e-zarrīñ kā gumāñ hai ki nahīñ
ek ehsās-e-bashar ke liye ḳhushbu-e-visāl
laakh nāzuk ho magar bār-e-garāñ hai ki nahīñ
jazba-e-soz-e-darūñ aaj giraftār huā
ek shā.ir kā junūñ aaj giraftār huā
raat ki shaKH pe khilte hue taron ke gulab
nikhat-o-nur ki manzil ka pata dete hain
saz betab hai mizrab ki jumbish ke liye
git raqqasa-e-hasti ko sada dete hain
jis ki aawaz mein farda ki khanak shamil hai
ek ubharte hue suraj ki chamak shamil hai
jis ki tabish se shuaon ki phuwaren phuTin
jis se pur-haul andheron ka jigar kanp uThe
phul ki tarah subuk tegh ki manind giran
jis ke ehsas se zulmat ki sipar kanp uThe
jis ke sae mein umidon ko jawan hona hai
rifat-e-ishq ko sarmaya-e-jaan hona hai
zindagi Thos haqiqat hai koi KHwab nahin
phir bhi ek umr bani rahti hai diwane ka KHwab
in haqaeq ko bhala kaun bhula sakta hai
saKHt haalat ke tapte hue virane ka KHwab
bistar-e-maKHmal-o-sanjab bhi yaad aata hai
gham-o-alam ka zahrab bhi yaad aata hai
ye mahakte hue gajre ye lahakte hue phul
in pe mustaqbil-e-zarrin ka guman hai ki nahin
ek ehsas-e-bashar ke liye KHushbu-e-visal
lakh nazuk ho magar bar-e-garan hai ki nahin
jazba-e-soz-e-darun aaj giraftar hua
ek shair ka junun aaj giraftar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.