nehru chacha
kahīñ gulāb kī kaliyoñ meñ muskurāte haiñ
kahīñ hujūm meñ bachchoñ ke paa.e jaate haiñ
nazar se chhup ke bhī vo dil ke paas rahte haiñ
maiñ tum se duur nahīñ huuñ vo ham se kahte haiñ
vo chāchā nehru jo bachchoñ se pyaar karte the
na.e zamāne kā jo intizār karte the
nayā zamāna jo duniyā ko raushnī baḳhshe
har aadmī ko na.ī ek zindagī baḳhshe
vo jis meñ amn-o-mohabbat kā bol baalā ho
charāg-e-ilm se har samt ik ujālā ho
amiir jis meñ na chūseñ lahū ġharīboñ kā
nasīb jis meñ chamak jaa.e bad-nasīboñ kā
ham un ke ḳhvāb haqīqat banā ke chhoḌeñge
ki chāchā nehru se rishta kabhī na toḌeñge
kahin gulab ki kaliyon mein muskuraate hain
kahin hujum mein bachchon ke pae jate hain
nazar se chhup ke bhi wo dil ke pas rahte hain
main tum se dur nahin hun wo hum se kahte hain
wo chacha nehru jo bachchon se pyar karte the
nae zamane ka jo intizar karte the
naya zamana jo duniya ko raushni baKHshe
har aadmi ko nai ek zindagi baKHshe
wo jis mein amn-o-mohabbat ka bol baala ho
charag-e-ilm se har samt ek ujala ho
amir jis mein na chusen lahu gharibon ka
nasib jis mein chamak jae bad-nasibon ka
hum un ke KHwab haqiqat bana ke chhoDenge
ki chacha nehru se rishta kabhi na toDenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.