nek-dil laDkiyo
nek dil laḌkiyo
aarzū kī numā.ish se guzro to chāroñ taraf dekhnā
aur phir jab tumhāre lahū meñ kisī kā lahū sarsarā.e
sitāroñ meñ āñkheñ chhupā kar duā māñgnā
qaidiyoñ shā.iroñ aur mahkūm ābādiyoñ ke liye
aur bīmār bachchoñ kī maañ ke liye
aur phir narm hoñToñ kī hiddat se
jab chhātiyoñ meñ havā sansanātī suno
nek-dil laḌkiyo yaad karnā unheñ jin kī qīmat bhī likkhe hue dā.ere
ek se raat din aur tanhā.iyāñ haiñ
hamāre liye chāñd nikle na nikle ki Tahniyoñ se bichhaḌ ke sambhalne na paa.e
havāoñ ke kandhoñ pe rote hue duur hote ga.e
aur jab lauTne kī hadoñ se bhī aage nikal aa.e
pīchhe se āvāz aa.ī palaT aao
ham ne tumhāre liye aaj aañsū bahā.e haiñ
ham raat ke mehmāñ haiñ magar nek-dil laḌkiyo
aarzū kī numā.ish meñ chāroñ taraf dekhnā
aur āñkhoñ kī tahrīr paḌhnā
hamārī taraf jab tumhāre safar kā musāfir havā ke sitam se guzarne lage
us se kahnā Thahar jaao
mere lahū meñ tumhāre liye aarzū hai
to ai nek-dil laḌkiyo alvidā.a
yaad rakhnā hamārī haqīqat se guzro to aañsū bahā kar duā māñgnā
qaidiyoñ shā.iroñ aur mahkūm ābādiyoñ ke liye
aur bīmār bachchoñ kī maañ ke liye
aur us ke liye jo tumhāre badan kā musāfir hai lekin
hamāre safar kī shahādat hai
nek dil laDkiyo
aarzu ki numaish se guzro to chaaron taraf dekhna
aur phir jab tumhaare lahu mein kisi ka lahu sarsarae
sitaron mein aankhen chhupa kar dua mangna
qaidiyon shairon aur mahkum aabaadiyon ke liye
aur bimar bachchon ki man ke liye
aur phir narm honTon ki hiddat se
jab chhatiyon mein hawa sansanati suno
nek-dil laDkiyo yaad karna unhen jin ki qimat bhi likkhe hue daere
ek se raat din aur tanhaiyan hain
hamare liye chand nikle na nikle ki Tahniyon se bichhaD ke sambhalne na pae
hawaon ke kandhon pe rote hue dur hote gae
aur jab lauTne ki hadon se bhi aage nikal aae
pichhe se aawaz aai palaT aao
hum ne tumhaare liye aaj aansu bahae hain
hum raat ke mehman hain magar nek-dil laDkiyo
aarzu ki numaish mein chaaron taraf dekhna
aur aankhon ki tahrir paDhna
hamari taraf jab tumhaare safar ka musafir hawa ke sitam se guzarne lage
us se kahna Thahar jao
mere lahu mein tumhaare liye aarzu hai
to ai nek-dil laDkiyo alwidaa
yaad rakhna hamari haqiqat se guzro to aansu baha kar dua mangna
qaidiyon shairon aur mahkum aabaadiyon ke liye
aur bimar bachchon ki man ke liye
aur us ke liye jo tumhaare badan ka musafir hai lekin
hamare safar ki shahadat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.