ye zarūrī nahīñ
tum jis parvīn kī talāsh meñ ho
vo nek bhī ho
aksar zindagī ke saath
qadam se qadam milā kar chalne vaalī laḌkiyāñ
pīchhe rah jaatī haiñ
aur chhipkilī aur cockroach se
Darne vaalī laḌkiyāñ
mohabbat kī dauḌ meñ avval aa jaatī haiñ
ajiib shahr hai dushman to hañs ke miltā hai
ye mire dost haiñ jo be-ruḳhī se milte haiñ
tumhāre ba.ad to ḳhud se bhī mil nahīñ paa.e
ye tum se kis ne kahā ham kisī se milte haiñ
ye zaruri nahin
tum jis parwin ki talash mein ho
wo nek bhi ho
aksar zindagi ke sath
qadam se qadam mila kar chalne wali laDkiyan
pichhe rah jati hain
aur chhipkili aur cockroach se
Darne wali laDkiyan
mohabbat ki dauD mein awwal aa jati hain
ajib shahr hai dushman to hans ke milta hai
ye mere dost hain jo be-ruKHi se milte hain
tumhaare baad to KHud se bhi mil nahin pae
ye tum se kis ne kaha hum kisi se milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.