neta ji
tum se bhārat ke logoñ kī
dekhī na ga.ī jab barbādī
be-ḳhauf-o-ḳhatar ho kar yaksar
laḌne lage jang-e-āzādī
kī duur vatan se barbādī
ai netā jī ai netā jī
chitranjan-dās kī qurbat meñ
bhārat ke liye har kaam kiyā
dānish jur.at hī se apnī
qaumī tahrīk meñ naam kiyā
māñgeñ thiiñ tumhārī buniyādī
ai netā jī ai netā jī
jhele na ga.e añgrezoñ ke
baḌhte hue had se zulm-o-sitam
ik fauj banā kar phir tum ne
sab ḳhatm kiye un ke dam-ḳham
kar dī dushman kī barbādī
ai netā jī ai netā jī
āzādī kī ḳhātir tum ne
jeleñ kāTīñ har ġham jhelā
āzād huā jis din bhārat
tum ne hī na āñkhoñ se dekhā
tum dekhte jashn-e-āzādī
ai netā jī ai netā jī
japan meñ jā kar ai netā
kis tarah kahāñ rū-posh hue
ruḳh kar na sake phir bhārat kā
aise bhī kyā mad.hosh hue
aa jaao ki ab hai āzādī
ai netā jī ai netā jī
aksar ye gumāñ hai logoñ ko
tum sāmne jaise aa.e ho
us kā ye kahīñ matlab to nahīñ
tum zehn-o-dil par chhā.e ho
kahtī hai ye saarī ābādī
ai netā jī ai netā jī
tum se bhaarat ke logon ki
dekhi na gai jab barbaadi
be-KHauf-o-KHatar ho kar yaksar
laDne lage jang-e-azadi
ki dur watan se barbaadi
ai neta ji ai neta ji
chitranjan-das ki qurbat mein
bhaarat ke liye har kaam kiya
danish jurat hi se apni
qaumi tahrik mein nam kiya
mangen thin tumhaari buniyaadi
ai neta ji ai neta ji
jhele na gae angrezon ke
baDhte hue had se zulm-o-sitam
ek fauj bana kar phir tum ne
sab KHatm kiye un ke dam-KHam
kar di dushman ki barbaadi
ai neta ji ai neta ji
aazadi ki KHatir tum ne
jelen kaTin har gham jhela
aazad hua jis din bhaarat
tum ne hi na aankhon se dekha
tum dekhte jashn-e-azadi
ai neta ji ai neta ji
japan mein ja kar ai neta
kis tarah kahan ru-posh hue
ruKH kar na sake phir bhaarat ka
aise bhi kya madhosh hue
aa jao ki ab hai aazadi
ai neta ji ai neta ji
aksar ye guman hai logon ko
tum samne jaise aae ho
us ka ye kahin matlab to nahin
tum zehn-o-dil par chhae ho
kahti hai ye sari aabaadi
ai neta ji ai neta ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.