netr-dan
nyaay kī devī kī āñkhoñ par
kaalī paTTī dekh rahe ho
us paTTī ko khol ke dekho
āñkhoñ ke asthān pe tum ko zaḳhm mileñge
us devī kī donoñ āñkheñ
khaddar-dhārī noch chuke haiñ
ab ḳhud hī insāf kī devī nain kī bhikshā maañg rahī hai
kaun hai jo ehsān karegā
apnī āñkheñ daan karegā
nyay ki dewi ki aankhon par
kali paTTi dekh rahe ho
us paTTi ko khol ke dekho
aankhon ke asthan pe tum ko zaKHm milenge
us dewi ki donon aankhen
khaddar-dhaari noch chuke hain
ab KHud hi insaf ki dewi nain ki bhiksha mang rahi hai
kaun hai jo ehsan karega
apni aankhen dan karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.