naya sal
raat kī uḌtī huī raakh se bojhal hai nasīm
yuuñ asā Tek ke chaltī hai ki rahm aatā hai
saañs letī hai daraḳhtoñ kā sahārā le kar
aur jab us ke libāde se lipaT kar koī
patta girtā hai to patthar sā luḌhak jaatā hai
shāḳheñ hāthoñ meñ liye kitnī adhūrī kaliyāñ
māñgtī haiñ faqat ik narm sī jumbish kī duā
aisā chup-chāp hai sañvlā.ī huī sub.h meñ shahr
jaise mābad kisī murjhā.e hue maz.hab kā
sar pe apnī hī shikastoñ ko uThā.e hue log
ik dorāhe pe girohoñ meñ khaḌe haiñ tanhā
yak-ba-yak fāsle tāñbe kī tarah bajne lage
qadam uThte haiñ to zarre bhī sadā dene lage
dard ke pairhan-e-chāk se jhāñko to zarā
murda sūraj pe laTakte hue maile bādal
kisī tūfān kī aamad kā patā dete haiñ!
raat ki uDti hui rakh se bojhal hai nasim
yun asa Tek ke chalti hai ki rahm aata hai
sans leti hai daraKHton ka sahaara le kar
aur jab us ke libaade se lipaT kar koi
patta girta hai to patthar sa luDhak jata hai
shaKHen hathon mein liye kitni adhuri kaliyan
mangti hain faqat ek narm si jumbish ki dua
aisa chup-chap hai sanwlai hui subh mein shahr
jaise mabad kisi murjhae hue mazhab ka
sar pe apni hi shikaston ko uThae hue log
ek dorahe pe girohon mein khaDe hain tanha
yak-ba-yak fasle tanbe ki tarah bajne lage
qadam uThte hain to zarre bhi sada dene lage
dard ke pairhan-e-chaak se jhanko to zara
murda suraj pe laTakte hue maile baadal
kisi tufan ki aamad ka pata dete hain!
- Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 243)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.