nifaq
nifāq se ḳhudā bachā.e rog ye shadīd hai
balā-e-jān aadmī nishān-e-buz-dilī hai ye
zavāl-e-ādmī hai ye vabāl-e-ādmī hai ye
agar kahūñ durust hai ki marg-e-ādmī hai ye
ye gandagī kā Dher hai ġhilāf meñ Dhakā chhupā
ye ḳhaufnāk zahr hai miThās meñ milā-julā
vabā-e-haul-nāk hai balā-e-haul-nāk hai
ye chaltī phirtī aag hai dayār o mulk o shahr meñ
nifāq se ḳhudā bachā.e rog ye ḳhabīs hai
libās-e-jism-e-ādmī meñ koḌh hai chhupā huā
munāfiqoñ kī ḳhaslateñ ajiib haiñ ġharīb haiñ
zabāñ pe kuchh hai dil meñ kuchh kaheñge kuchh kareñge kuchh
zabāñ pe dostī kā raag āstīn meñ chhurī
diloñ meñ buġhz hai bharā magar laboñ pe hai hañsī
zabān par ḳhudā kī raT diloñ meñ fikr-e-shaitanat
ye apne aap haiñ ḳhudā ġharaz ko pūjte haiñ ye
ye nafs ke ġhulām haiñ mafād ke ġhulām haiñ
ye apne aap muqtadī ye apne ḳhud imaam haiñ
nifaq se KHuda bachae rog ye shadid hai
bala-e-jaan aadmi nishan-e-buz-dili hai ye
zawal-e-admi hai ye wabaal-e-admi hai ye
agar kahun durust hai ki marg-e-admi hai ye
ye gandagi ka Dher hai ghilaf mein Dhaka chhupa
ye KHaufnak zahr hai miThas mein mila-jula
waba-e-haul-nak hai bala-e-haul-nak hai
ye chalti phirti aag hai dayar o mulk o shahr mein
nifaq se KHuda bachae rog ye KHabis hai
libas-e-jism-e-admi mein koDh hai chhupa hua
munafiqon ki KHaslaten ajib hain gharib hain
zaban pe kuchh hai dil mein kuchh kahenge kuchh karenge kuchh
zaban pe dosti ka rag aastin mein chhuri
dilon mein bughz hai bhara magar labon pe hai hansi
zaban par KHuda ki raT dilon mein fikr-e-shaitanat
ye apne aap hain KHuda gharaz ko pujte hain ye
ye nafs ke ghulam hain mafad ke ghulam hain
ye apne aap muqtadi ye apne KHud imam hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.