nigar-KHana
kisī kī sharbatī nazar
koī mahaktā pairahan
damaktī surḳh chūḌiyāñ
chamaktā reshmī badan
ka.ī jhuke jhuke shajar
hare banoñ meñ ghūmtī
koī udaas rahguzar
hinā ke rañg meñ base
kisī nagar ke bām-o-dar
raheñge yaad umr-bhar
kisi ki sharbati nazar
koi mahakta pairahan
damakti surKH chuDiyan
chamakta reshmi badan
kai jhuke jhuke shajar
hare banon mein ghumti
koi udas rahguzar
hina ke rang mein base
kisi nagar ke baam-o-dar
rahenge yaad umr-bhar
- Book : Saveera (Pg. 341)
- Author : Naziir Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.