night-club
na.ī tahzīb ke shahkār-e-azīm!
terī pur-kaif o tarab-ḳhez fazāoñ ko salām!
kitne nau-ḳhez o hasīñ jism yahāñ chāroñ taraf
raqs meñ mahv haiñ uryānī kī tasvīr bane
apnī ra.anā.ī o zebā.ī kī tash.hīr bane
sāz-e-pur-josh kī sañgat meñ thirakte joḌe
farsh-e-marmar pe phisalte haiñ bahak jaate haiñ
dauḌtī jaatī hai rag rag meñ sharāb-e-gulfām
na.ī tahzīb ke shahkār-e-azīm!
terī pur-kaif o tarab-ḳhez fazāoñ ko salām!
un kī āñkhoñ se chhalaktī hai havas kī mastī
un ke sīnoñ meñ farozāñ haiñ vo jinsī sho.ale
jin kī ik ek lapaT se hai bhasam sharm-o-hayā
qahqahe, saaz kī tānoñ meñ Dhale jaate haiñ
lams kī aag meñ sab jism jale jaate haiñ
aañkh ke Doroñ meñ poshīda haiñ mub.ham se payām
na.ī tahzīb ke shahkār-e-azīm!
terī pur-kaif o tarab-ḳhez fazāoñ ko salām
dhaḌkaneñ tez huiiñ shauq kī lai baḌhne lagī
jism par tañgī-e-malbūs zarā aur baḌhī
aañkh meñ nashshe kī ik lahr zarā aur chaḌhī
larzish-e-pā se jhalakne lagī dil kī laġhzish!
daf.atan jaaz kī pur-josh sadā band huī
raushnī Duub ga.ī phail ga.ī zulmat-e-shab....
jism se jism kī qurbat jo bujhāne lagī aag
dopahar Dhal ga.ī jazbāt kī hone lagī shaam
na.ī tahzīb ke shahkār-e-azīm!
terī pur-kaif o tarab-ḳhez fazāoñ ko salām
jal gayā sīna-e-sozāñ meñ hī insāñ kā zamīr
ruuh kī chīḳh fazāoñ meñ kahīñ Duub ga.ī
ruḳh-e-tahzīb pasīne meñ sharābor huā
ilm hai sar-ba-garebāñ o adab mohr-ba-lab
kis se is daur-e-jarāhat meñ ho marham kī talab
mulk-e-tahzīb meñ chañgez hai phir ḳhūñ-āshām
na.ī tahzīb ke shahkār-e-azīm!
terī pur-kaif o tarab-ḳhez fazāoñ ko salām
nai tahzib ke shahkar-e-azim!
teri pur-kaif o tarab-KHez fazaon ko salam!
kitne nau-KHez o hasin jism yahan chaaron taraf
raqs mein mahw hain uryani ki taswir bane
apni ranai o zebai ki tashhir bane
saz-e-pur-josh ki sangat mein thirakte joDe
farsh-e-marmar pe phisalte hain bahak jate hain
dauDti jati hai rag rag mein sharab-e-gulfam
nai tahzib ke shahkar-e-azim!
teri pur-kaif o tarab-KHez fazaon ko salam!
un ki aankhon se chhalakti hai hawas ki masti
un ke sinon mein farozan hain wo jinsi shoale
jin ki ek ek lapaT se hai bhasam sharm-o-haya
qahqahe, saz ki tanon mein Dhale jate hain
lams ki aag mein sab jism jale jate hain
aankh ke Doron mein poshida hain mubham se payam
nai tahzib ke shahkar-e-azim!
teri pur-kaif o tarab-KHez fazaon ko salam
dhaDkanen tez huin shauq ki lai baDhne lagi
jism par tangi-e-malbus zara aur baDhi
aankh mein nashshe ki ek lahr zara aur chaDhi
larzish-e-pa se jhalakne lagi dil ki laghzish!
dafatan jaz ki pur-josh sada band hui
raushni Dub gai phail gai zulmat-e-shab
jism se jism ki qurbat jo bujhane lagi aag
dopahar Dhal gai jazbaat ki hone lagi sham
nai tahzib ke shahkar-e-azim!
teri pur-kaif o tarab-KHez fazaon ko salam
jal gaya sina-e-sozan mein hi insan ka zamir
ruh ki chiKH fazaon mein kahin Dub gai
ruKH-e-tahzib pasine mein sharabor hua
ilm hai sar-ba-gareban o adab mohr-ba-lab
kis se is daur-e-jarahat mein ho marham ki talab
mulk-e-tahzib mein changez hai phir KHun-asham
nai tahzib ke shahkar-e-azim!
teri pur-kaif o tarab-KHez fazaon ko salam
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 63)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.