night school
fasl-e-gul mahkī hai phir ġhuncha-dahan khultā hai
shaam Dhalne lagī aur shab kā badan khultā hai
āsmāñ par hue chāhat ke sitāre raushan
shahr-e-ḳhāmosh meñ ik bāb-e-suḳhan khultā hai
harf-e-ulfat se mahak uTThegī ḳhāmosh sahar
zahr piite the jo shā.ir vo ġhazal-ḳhvāñ hoñge
aaj āfāq par ḳhurshīd-o-qamar nācheñge
aur sitāre bhī galī kūche meñ raqsāñ hoñge
ahl-e-dānish bhī luTā.eñge basīrat ke jaam
ilm-o-idrāk ke pyāsoñ pe talab-gāroñ par
mahfil-e-rang jamā.eñge hunar se mai-kash
hogī saaqī kī ināyat bhī gunahgāroñ par
varaq-e-sāda pe ḳhvāhish ke na.e rang liye
raat aa.ī hai kisī husn ko jalva dene
arsa-e-dahr se ik ḳhvāb-shikan ko thāme
chashm-e-duḳhtar ko ujāloñ kā ye tohfa dene
fasl-e-gul mahki hai phir ghuncha-dahan khulta hai
sham Dhalne lagi aur shab ka badan khulta hai
aasman par hue chahat ke sitare raushan
shahr-e-KHamosh mein ek bab-e-suKHan khulta hai
harf-e-ulfat se mahak uTThegi KHamosh sahar
zahr pite the jo shair wo ghazal-KHwan honge
aaj aafaq par KHurshid-o-qamar nachenge
aur sitare bhi gali kuche mein raqsan honge
ahl-e-danish bhi luTaenge basirat ke jam
ilm-o-idrak ke pyason pe talab-garon par
mahfil-e-rang jamaenge hunar se mai-kash
hogi saqi ki inayat bhi gunahgaron par
waraq-e-sada pe KHwahish ke nae rang liye
raat aai hai kisi husn ko jalwa dene
arsa-e-dahr se ek KHwab-shikan ko thame
chashm-e-duKHtar ko ujalon ka ye tohfa dene
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.