niche ki or
vaqt kī daldal meñ dhañstā jā rahā huuñ
mere chāroñ or gadlī lajlajī yādoñ kī tah hai
sar pe biitī umr ke TuuTe hue lamhoñ kā bojh
is safar kī ibtidā kaise huī thī
ye ḳhabar mujh ko nahīñ
yaad bas itnā hai
mere vālid-e-marhūm kuchh uupar hī mujh se rah ga.e the
intihā kyā hai safar kī
kaun jaane
saañs kā har tāziyāna
mujh ko nīche aur nīche kī taraf hī khīñchtā hai
jaane maiñ tah tak bhī pahuñchūñgā
ki vālid kī tarah
apne bachchoñ ko bhī dhañsne ke liye kah jā.ūñgā
vaqt kī daldal meñ dhañstā jā rahā huuñ
waqt ki daldal mein dhansta ja raha hun
mere chaaron or gadli lajlaji yaadon ki tah hai
sar pe biti umr ke TuTe hue lamhon ka bojh
is safar ki ibtida kaise hui thi
ye KHabar mujh ko nahin
yaad bas itna hai
mere walid-e-marhum kuchh upar hi mujh se rah gae the
intiha kya hai safar ki
kaun jaane
sans ka har taziyana
mujh ko niche aur niche ki taraf hi khinchta hai
jaane main tah tak bhi pahunchunga
ki walid ki tarah
apne bachchon ko bhi dhansne ke liye kah jaunga
waqt ki daldal mein dhansta ja raha hun
- Book : kamaan (Pg. 367)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.