nilufar aur daddy
aap ke hāthoñ ne samjhā maar ke qābil mujhe
maiñ nigoḌī to ye samjhī mil ga.ī manzil mujhe
mujh ko nā-manzūr hai aap kā ye faisla
toḌ dī merī kamar ai banda-parvar aap ne
apnī bheḌoñ bakriyoñ meñ kar liyā shāmil mujhe
aap ke hāthoñ ne samjhā maar ke qābil mujhe
sāmne saare jahāñ ke kar diyā ghā.il mujhe
aap ke hāthoñ ne samjhā maar ke qābil mujhe
paḌ ga.iiñ muñh par mire haath kī parchhā.iyāñ
kaan meñ bajne lagīñ saikḌoñ shahnā.iyāñ
do jahāñ kī aaj choTeñ ho ga.iiñ hāsil mujhe
aap ke hāthoñ ne samjhā maar ke qābil mujhe
aap ke hathon ne samjha mar ke qabil mujhe
main nigoDi to ye samjhi mil gai manzil mujhe
mujh ko na-manzur hai aap ka ye faisla
toD di meri kamar ai banda-parwar aap ne
apni bheDon bakriyon mein kar liya shamil mujhe
aap ke hathon ne samjha mar ke qabil mujhe
samne sare jahan ke kar diya ghail mujhe
aap ke hathon ne samjha mar ke qabil mujhe
paD gain munh par mere hath ki parchhaiyan
kan mein bajne lagin saikDon shahnaiyan
do jahan ki aaj choTen ho gain hasil mujhe
aap ke hathon ne samjha mar ke qabil mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.