nim hakim KHatra-e-jaan
kal huā shab ko jo minTo road par merā guzar
ik dukāñ par ittifāqan ik tabīb aaya nazar
us dukāñ ke sāmne ek board thā laTkā huā
jis pe thā rangīn pairā.e meñ ye likkhā huā
shaiḳh budhdhan sar-zamīn-e-hind kī rūh-e-ravāñ
rahnumā-e-tibb-e-yūnānī masīhā-e-zamāñ
ek bosīda sanad thī dar pe laTkā.ī huī
jo kisī attār-e-kāmil se thī likhvā.ī huī
sāmne the chand Dabbe jin meñ thiiñ kuchh goliyāñ
muddatoñ kī ek botal meñ thī rūh-e-bādbāñ
paas aaya gar koī un ko masīhā jaan kar
so gayā ārām se do din meñ chādar taan kar
saiñkaḌoñ bīmār nazr-e-maut yūñhī ho ga.e
un ke hāthoñ zindagī se haath kitne dho ga.e
āj-kal ye hind meñ hai tibb-e-yūnānī kā haal
maut ke har ek goshe meñ bichhā rakkhe haiñ jaal
har galī meñ haiñ hakīmoñ kī dukāneñ be-shumār
ek sau bīmār agar haiñ to atibbā ik hazār
har dar-o-dīvār pe chaspāñ haiñ un ke ishtihār
fan ke jo māhir the vo bhī ho ga.e be-e'tibār
thī kabhī ye tib haqīqat meñ masīhā-e-zamāñ
ek din ye hai ki ḳhud hī le rahī hai hichkiyāñ
kyā kare vo har tarah majbūr hai nā-chār hai
kyā masīhā.ī kare jab aap hī bīmār hai
in hakīmoñ kā jahāñ meñ gar yahī aalam rahā
dekh lenā garm bāzār-e-ajal ho jā.egā
kal hua shab ko jo minTo road par mera guzar
ek dukan par ittifaqan ek tabib aaya nazar
us dukan ke samne ek board tha laTka hua
jis pe tha rangin pairae mein ye likkha hua
shaiKH budhdhan sar-zamin-e-hind ki ruh-e-rawan
rahnuma-e-tibb-e-yunani masiha-e-zaman
ek bosida sanad thi dar pe laTkai hui
jo kisi attar-e-kaamil se thi likhwai hui
samne the chand Dabbe jin mein thin kuchh goliyan
muddaton ki ek botal mein thi ruh-e-baadban
pas aaya gar koi un ko masiha jaan kar
so gaya aaram se do din mein chadar tan kar
sainkaDon bimar nazr-e-maut yunhi ho gae
un ke hathon zindagi se hath kitne dho gae
aaj-kal ye hind mein hai tibb-e-yunani ka haal
maut ke har ek goshe mein bichha rakkhe hain jal
har gali mein hain hakimon ki dukanen be-shumar
ek sau bimar agar hain to atibba ek hazar
har dar-o-diwar pe chaspan hain un ke ishtihaar
fan ke jo mahir the wo bhi ho gae be-e'tibar
thi kabhi ye tib haqiqat mein masiha-e-zaman
ek din ye hai ki KHud hi le rahi hai hichkiyan
kya kare wo har tarah majbur hai na-chaar hai
kya masihai kare jab aap hi bimar hai
in hakimon ka jahan mein gar yahi aalam raha
dekh lena garm bazar-e-ajal ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.