nim ka peD
hamāre ghar ke bāhar niim kā ik peḌ thā pahle
tumheñ bhī yaad hogā ham vahīñ pe khelā karte the
usī kī god meñ rakhte the sab farmā.ishī parche
kisī jaadū se puurā kar rahā hai ye samajhte the
sunā hai in dinoñ kuchh aur kaḌvā ho gayā hai vo
haiñ patte zard pahle se zarā sā jhuk gayā hai vo
guzarne vaale logoñ pe vo kaḌve phal girātā hai
baḌe ġhusse meñ jaise koī būḌhā baḌbaḌātā hai
kabhī chup-chāp phir hai dekhtā ummīd se kuchh yuuñ
ki jaise kah rahā ho paas aa to maiñ bhī kuchh pūchhūñ
chalo kuchh roz kī chhuTTī nikāleñ ghuum kar aa.eñ
parinde kitne haiñ ab rābte meñ dekh kar aa.eñ
usī miTTī meñ kuchh yādeñ hamārī bhī gaḌī hoñgī
vahīñ us kī bhī kuchh farmā.isheñ sūkhī paḌī hoñgī
hamāre pūchh lene hī se shāyad khil uThegā vo
hameñ nazdīk pā ke pahle jaise phir khulegā vo
yaqīnan kuchh ḳhushī ham ko bhī to mahsūs hī hogī
kahīñ raste meñ dikhtā hai agar koī shajar mujh ko
to fauran yaad aatā hai yahī bas āj-kal mujh ko
hamāre ghar ke bāhar niim kā ik peḌ thā pahle
hamare ghar ke bahar nim ka ek peD tha pahle
tumhein bhi yaad hoga hum wahin pe khela karte the
usi ki god mein rakhte the sab farmaishi parche
kisi jadu se pura kar raha hai ye samajhte the
suna hai in dinon kuchh aur kaDwa ho gaya hai wo
hain patte zard pahle se zara sa jhuk gaya hai wo
guzarne wale logon pe wo kaDwe phal giraata hai
baDe ghusse mein jaise koi buDha baDbaData hai
kabhi chup-chap phir hai dekhta ummid se kuchh yun
ki jaise kah raha ho pas aa to main bhi kuchh puchhun
chalo kuchh roz ki chhuTTi nikalen ghum kar aaen
parinde kitne hain ab rabte mein dekh kar aaen
usi miTTi mein kuchh yaaden hamari bhi gaDi hongi
wahin us ki bhi kuchh farmaishen sukhi paDi hongi
hamare puchh lene hi se shayad khil uThega wo
hamein nazdik pa ke pahle jaise phir khulega wo
yaqinan kuchh KHushi hum ko bhi to mahsus hi hogi
kahin raste mein dikhta hai agar koi shajar mujh ko
to fauran yaad aata hai yahi bas aaj-kal mujh ko
hamare ghar ke bahar nim ka ek peD tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.