nim-libasi ka nauha
tumhārī mohabbat ko zindagī dene ke liye
maiñ ne to apne saare but toḌ liye
magar tum ne javāban
apne kaabe par ġhilāf chaḌhā liyā
faqat tavāf se merī tashaffī nahīñ ho saktī
maiñ kaise tumhāre andar jhāñkūñ
bebasī ne mujhe meñDak banā diyā hai
maiñ apnī zaat ke kueñ meñ paḌā huuñ
aur ḳhvāhish mere ḳhuun meñ
rassī kī tarah laTak rahī hai
maiñ kapḌoñ meñ bhī fuhash kahlāyā
to libās merī qaid kyuuñ hai
mujhe rañgat nahīñ ehsās darkār hai
kyūñki āñkhoñ se ziyāda mere haath pyāse haiñ
lāzmī nahīñ sirf aañkh se royā jaa.e
aur rone ke liye behtarīn jagah
washrōm hī ho saktī hai
jahāñ meñ apnī nīm-libāsī thuuk kar
tumhāre naam kā ġhusl kar saktā huuñ
tumhaari mohabbat ko zindagi dene ke liye
main ne to apne sare but toD liye
magar tum ne jawaban
apne kabe par ghilaf chaDha liya
faqat tawaf se meri tashaffi nahin ho sakti
main kaise tumhaare andar jhankun
bebasi ne mujhe meinDak bana diya hai
main apni zat ke kuen mein paDa hun
aur KHwahish mere KHun mein
rassi ki tarah laTak rahi hai
main kapDon mein bhi fuhash kahlaya
to libas meri qaid kyun hai
mujhe rangat nahin ehsas darkar hai
kyunki aankhon se ziyaada mere hath pyase hain
lazmi nahin sirf aankh se roya jae
aur rone ke liye behtarin jagah
washroom hi ho sakti hai
jahan mein apni nim-libasi thuk kar
tumhaare nam ka ghusl kar sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.