Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nim pagal

Harshlata

nim pagal

Harshlata

MORE BYHarshlata

    vo ek niim pāgal laḌkī

    baiThī rahtī thī kināre par

    bāñdhe ummīd Dor

    ki lauT aa.egī us kashtī

    jo bah ga.ī thī tez lahroñ meñ kabhī

    kināre par dikhtī thī sub.h shaam

    har aane vaalī lahr aahaT bhar se

    chamak jaatī thiiñ us āñkheñ

    lekin har aatī lahr ḳhālī haath aatī

    aur lauTtī to le jaatī pairoñ zamīñ bhī

    dekhtī rahtī vo

    chaḌhte aur utarte sūraj ke nārañgī rañg ko

    sub.h sindūrī laalī

    shaam ko dahkātī us ke dil meñ añgāre

    vo ek niim pāgal laḌkī

    baiThī rahtī thī kināre par

    kuchh dinoñ se dikhtī nahīñ ab

    shāyad intizār nahīñ kar sakī kuchh aur roz

    rok nahīñ sakī ḳhud ko

    aur chalī ga.ī lahroñ or

    apnī kashtī talāsh meñ

    duur bahut bahut duur talak

    vo ek niim pāgal laḌkī

    wo ek nim pagal laDki

    baiThi rahti thi kinare par

    bandhe ummid ki Dor

    ki lauT aaegi us ki kashti

    jo bah gai thi tez lahron mein kabhi

    kinare par hi dikhti thi subh sham

    har aane wali lahr ki aahaT bhar se

    chamak jati thin us ki aankhen

    lekin har aati lahr KHali hath hi aati

    aur lauTti to le jati pairon ki zamin bhi

    dekhti rahti wo

    chaDhte aur utarte suraj ke narangi rang ko

    subh ki sinduri lali

    sham ko dahkati us ke dil mein angare

    wo ek nim pagal laDki

    baiThi rahti thi kinare par

    kuchh dinon se dikhti nahin ab

    shayad intizar nahin kar saki kuchh aur roz

    rok nahin saki KHud ko

    aur chali gai lahron ki or

    apni kashti ki talash mein

    dur bahut bahut dur talak

    wo ek nim pagal laDki

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now