nind aati hai to lagta hai ke tum aae ho
niiñd aatī hai to lagtā hai ke tum aa.e ho
aañkh kholūñ to kahīñ duur talak koī nahīñ
huuñ muqayyad maiñ kisī gosha-e-tanhā.ī meñ
har taraf phailī huī dhund nazar aatī hai
sāmne tum se bichhaḌne kā vahī manzar hai
aañkh meñ chubhtā hai ye miil kā patthar sun lo
log kahte haiñ manāzir to badal jaate haiñ
kuchh qadam chhoḌ ke har yaad kā dāman dekho
Thiik kahte bhī hoñ ye log to kyā chāra hai
aap kī yaad vo dāman nahīñ chhoḌeñ jis ko
ye to ik daam hai maiñ jis meñ ulajh kar dekho
laakh barbād huuñ nāshād huuñ nākām nahīñ
vaqt palTegā tum aaoge to ye dekhoge
is bharose ke sahāre maiñ abhī zinda huuñ
nind aati hai to lagta hai ke tum aae ho
aankh kholun to kahin dur talak koi nahin
hun muqayyad main kisi gosha-e-tanhai mein
har taraf phaili hui dhund nazar aati hai
samne tum se bichhaDne ka wahi manzar hai
aankh mein chubhta hai ye mil ka patthar sun lo
log kahte hain manazir to badal jate hain
kuchh qadam chhoD ke har yaad ka daman dekho
Thik kahte bhi hon ye log to kya chaara hai
aap ki yaad wo daman nahin chhoDen jis ko
ye to ek dam hai main jis mein ulajh kar dekho
lakh barbaad hun nashad hun nakaam nahin
waqt palTega tum aaoge to ye dekhoge
is bharose ke sahaare main abhi zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.