nind
ai tabīb-e-alam-e-mahrūmāñ
chāra-farmā-e-humūm-o-afkār
tujh se āshufta-sarī kā darmāñ
haiñ shifāyāb tujhī se bīmār
hai mudabbir tū hī nature ke shifā-ḳhāne kī
tū hī lā-raib hai mai ziist ke paimāne kī
bā'is-e-ḳhurramī-o-ḳhush-hālī
ḳhastā-hāloñ ke liye ek iksīr
kaayā nature kī palaTne vaalī
aap be-shub.ha hai tū apnī nazīr
sitam jo zāhir meñ hai bātin meñ hai tū rūh-afzā
maut zāhir meñ hai bātin meñ sabab jiine kā
dahr ne jin ko satā rakkhā hai
jin ko hai ziist kā har lahza vabāl
jin ko nākāmiyoñ ne gherā hai
jin ko duniyā meñ na sarvat hai na maal
aisoñ kā ġham ġhalat ik do ghaḌī kartī hai tū
dast-e-shafqat dil-e-pazh-murda pe dhartī hai tū
jo haiñ mast-e-mai-e-'ishrat un kī
zindagī be-tire hotī hai harām
hai ġharaz sab ko zarūrat terī
chain tujh se hai tujhī se ārām
chāñdnī shab nam-e-shabnam meñ mazā tere sabab
pyārī pyārī nazar aatī hai sabā tere sabab
ai tabib-e-alam-e-mahruman
chaara-farma-e-humum-o-afkar
tujh se aashufta-sari ka darman
hain shifayab tujhi se bimar
hai mudabbir tu hi nature ke shifa-KHane ki
tu hi la-raib hai mai zist ke paimane ki
ba'is-e-KHurrami-o-KHush-haali
KHasta-haalon ke liye ek iksir
kaya nature ki palaTne wali
aap be-shubha hai tu apni nazir
sitam jo zahir mein hai baatin mein hai tu ruh-afza
maut zahir mein hai baatin mein sabab jine ka
dahr ne jin ko sata rakkha hai
jin ko hai zist ka har lahza wabaal
jin ko nakaamiyon ne ghera hai
jin ko duniya mein na sarwat hai na mal
aison ka gham ghalat ek do ghaDi karti hai tu
dast-e-shafqat dil-e-pazh-murda pe dharti hai tu
jo hain mast-e-mai-e-'ishrat un ki
zindagi be-tire hoti hai haram
hai gharaz sab ko zarurat teri
chain tujh se hai tujhi se aaram
chandni shab nam-e-shabnam mein maza tere sabab
pyari pyari nazar aati hai saba tere sabab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.