nind ke taaqub mein
niiñd ke ta.āqub meñ
duur duur tak lā-hāsil
der se bhaTaktā huuñ
niilī āñkhoñ vaalī
jañgalī billī
baar baar dum hilātī hai
merī chārpā.ī ke nīche
niim raushan lamp ke ird-gird
kīḌoñ par jhapaTtī chhipkalī
be-ḳhabar hai apne ant se
kitnā ġhair-mutavaqqe hogā
mil jaanā anant se
miTTī ke tel kī gandh
qulāñcheñ bhar rahī hai kamre meñ
be-lagām ghoḌī kī tarah
chhat par
reñgtī huī ḳhāmoshī
baar baar dohrā rahī hai
paapī nishācharoñ kā giit
aur niiñd mīloñ duur
kisī nā-mālūm daraḳht ke pattoñ meñ chhupī
chiḌiyoñ sā chahchahā rahī hai
mujhe bulā rahī hai
nind ke taaqub mein
dur dur tak la-hasil
der se bhaTakta hun
nili aankhon wali
jangali billi
bar bar dum hilati hai
meri chaarpai ke niche
nim raushan lamp ke ird-gird
kiDon par jhapaTti chhipkali
be-KHabar hai apne ant se
kitna ghair-mutawaqqe hoga
mil jaana anant se
miTTi ke tel ki gandh
qulanchen bhar rahi hai kamre mein
be-lagam ghoDi ki tarah
chhat par
rengti hui KHamoshi
bar bar dohra rahi hai
papi nishacharon ka git
aur nind milon dur
kisi na-malum daraKHt ke patton mein chhupi
chiDiyon sa chahchaha rahi hai
mujhe bula rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.