nind ki mati
vo niiñd kī maatī jis kī āñkheñ
shām-Dhale nāranjī hotīñ
aate jaate ḳhvāb anokhe
palkeñ jis kī chhūte rahte
jis kī khiḌkī ke pardoñ par
chāñd kā bhī na saaya paḌtā
jis ke kamre se bach bach kar
sūraj apnā rasta chaltā
jis ke āñgan chanchal chiḌiyāñ
sargoshī meñ bāteñ kartīñ
jis ke zehn meñ soch kī girheñ paḌtīñ
aur khul jaatī thiiñ
jis ke dil par yaas ke bādal chhāte
aur uḌ jaate the
us kī āñkheñ phaTī phaTī sī
us kā chehra bujhā bujhā
wo nind ki mati jis ki aankhen
sham-Dhale naranji hotin
aate jate KHwab anokhe
palken jis ki chhute rahte
jis ki khiDki ke pardon par
chand ka bhi na saya paDta
jis ke kamre se bach bach kar
suraj apna rasta chalta
jis ke aangan chanchal chiDiyan
sargoshi mein baaten kartin
jis ke zehn mein soch ki girhen paDtin
aur khul jati thin
jis ke dil par yas ke baadal chhate
aur uD jate the
us ki aankhen phaTi phaTi si
us ka chehra bujha bujha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.