nind mein chalti maut
maiñ ne dekhī nahīñ
ḳhvāb buntī huī maḳhmalīñ uñgliyāñ
jin kā lams-e-gudāz ek din
vaqt ke sard gāloñ se bahtā huā
mere hoñToñ pe aaya
to sadiyoñ kī namkīniyāñ
sang-basta diloñ ke samundar meñ
ubhre pahāḌoñ kā ik silsila ban chukī thiiñ
vo kyā silsila thā
jo ik god se gor tak reshmī taar sā tan gayā
jis pe chalte zamāne
ḳhudā-vand-e-a.alā ke ahkām-e-rahmat uThā.e hue
raqs karte guzarte
to miTTī pe naqsh-o-nigārān-e-ġham muskurāte
tujhe yaad aate
tujhe yaad karte hue
yuuñ guzre
ki jaise kisī bhed-bhāv bharī chāñdnī raat se
chāñd kā bāñkpan
bādaloñ ke laḌakpan ke gaale uḌāte hue
ḳhvāb-labrez pariyoñ se
chhup-chhup ke guzre
ye dikhne dikhāne kī saarī mashī.at
ye chhupne chhupāne kī saarī aziyyat
koī jheltā hai
jo tū ne akele meñ jhelī
maiñ kitne dinoñ baad aaya tire paañv chhūne
hisāb is ḳhajālat kā karte hue
kitne aañsū gire
maiñ nahīñ gin sakā
bhīgte phailte lafz a.adād jab bhī samundar banāte
tire naam kī naav mujh ko kināre lagātī
magar ye kināra koī kahkashāñ to nahīñ thā
ki maiñ tere lā-vaqt sāhil pe
ḳhud apne paañv ke miTte nishāñ dekh kar muskurātā
vo gintī kā mā'kūsī ziina thā
taht-us-sarā tak ravāñ reñgtī ābnā.e thī
āñkhoñ kā kārez thī
terī mohabbat kī vo dāstāñ
jis ko likhne kī koshish meñ lākhoñ varaq
maiñ ne kaale kiye
magar ek lamha bhī mere qalam par
vo ḳhush-rang ilhām ban kar na utrā
jise tere hoñToñ kī tasdīq miltī
baḌī se baḌī baat ko
ek bhīgī huī muskurāhaT meñ kahne kā tujh ko salīqa thā
a.adād-o-alfāz kī bhiiḌ meñ
kis qadar maiñ akelā huuñ
tujh ko ḳhabar hai
batā de mujhe bhī koī ism-e-asrār
jis kī tamanna liye sab parinde ga.e sātvīñ samt
lekin koī aaj tak muḌ ke aaya nahīñ
phuul hoñToñ ke murda zamāne pe rakkhūñ to
ḳhushbū tirī
gul-badan ban ke jaage
tire saañs meñ saañs lene kī rāhat
mirī yaad ke baaġh meñ
ek jādū-zada nīm-ḳhvābīda
shahzādī zindagī kī tarah muntazir hai
yahāñ apne hone se kis ko mafar hai
koī niiñd meñ jāgne kī aziyyat nahīñ jāntā
apnī jannat kā manzar mire malgaje ḳhvāb par khol de
koī shīrīñ takallum mire zahr meñ ghol de
fāsla niiñd aur maut ke darmiyān
apnī maujūdgī se banā
kar atā mojazātī hunar
maiñ to noToñ kī gintī meñ masrūf
andhe zamāne ke hāthoñ kī
vo mail huuñ
jis pe makkhī bhī aa kar nahīñ baiThtī
main ne dekhi nahin
KHwab bunti hui maKHmalin ungliyan
jin ka lams-e-gudaz ek din
waqt ke sard galon se bahta hua
mere honTon pe aaya
to sadiyon ki namkiniyan
sang-basta dilon ke samundar mein
ubhre pahaDon ka ek silsila ban chuki thin
wo kya silsila tha
jo ek god se gor tak reshmi tar sa tan gaya
jis pe chalte zamane
KHuda-wand-e-ala ke ahkaam-e-rahmat uThae hue
raqs karte guzarte
to miTTi pe naqsh-o-nigaran-e-gham muskuraate
tujhe yaad aate
tujhe yaad karte hue
yun guzre
ki jaise kisi bhed-bhaw bhari chandni raat se
chand ka bankpan
baadalon ke laDakpan ke gale uDate hue
KHwab-labrez pariyon se
chhup-chhup ke guzre
ye dikhne dikhane ki sari mashiat
ye chhupne chhupane ki sari aziyyat
koi jhelta hai
jo tu ne akele mein jheli
main kitne dinon baad aaya tere panw chhune
hisab is KHajalat ka karte hue
kitne aansu gire
main nahin gin saka
bhigte phailte lafz aadad jab bhi samundar banate
tere nam ki naw mujh ko kinare lagati
magar ye kinara koi kahkashan to nahin tha
ki main tere la-waqt sahil pe
KHud apne panw ke miTte nishan dekh kar muskuraata
wo ginti ka ma'kusi zina tha
taht-us-sara tak rawan rengti aabnae thi
aankhon ka karez thi
teri mohabbat ki wo dastan
jis ko likhne ki koshish mein lakhon waraq
main ne kale kiye
magar ek lamha bhi mere qalam par
wo KHush-rang ilham ban kar na utra
jise tere honTon ki tasdiq milti
baDi se baDi baat ko
ek bhigi hui muskurahaT mein kahne ka tujh ko saliqa tha
aadad-o-alfaz ki bhiD mein
kis qadar main akela hun
tujh ko KHabar hai
bata de mujhe bhi koi ism-e-asrar
jis ki tamanna liye sab parinde gae satwin samt
lekin koi aaj tak muD ke aaya nahin
phul honTon ke murda zamane pe rakkhun to
KHushbu teri
gul-badan ban ke jage
tere sans mein sans lene ki rahat
meri yaad ke bagh mein
ek jadu-zada nim-KHwabida
shahzadi zindagi ki tarah muntazir hai
yahan apne hone se kis ko mafar hai
koi nind mein jagne ki aziyyat nahin jaanta
apni jannat ka manzar mere malgaje KHwab par khol de
koi shirin takallum mere zahr mein ghol de
fasla nind aur maut ke darmiyan
apni maujudgi se bana
kar ata mojazati hunar
main to noTon ki ginti mein masruf
andhe zamane ke hathon ki
wo mail hun
jis pe makkhi bhi aa kar nahin baiThti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.