nind
niiñd ik jazīra hai
jis meñ ḳhvāb baste haiñ
vādiyāñ haiñ jhīleñ haiñ
murġh-zār-o-gulshan haiñ
dil-nashīn chehre haiñ
log is jazīre meñ
ḳhvāb lene jaate haiñ
ḳhvāb zindagānī ke
ḳhvāb shādmānī ke
ḳhvāb kāmrānī ke
jin kī zindagānī meñ
koī sukh nahīñ hotā
ik jahān-e-mahrūmī
jin ke saath chaltā hai
niiñd ke jazīre meñ
apnī saarī mahrūmī
jā ke bhuul jaate haiñ
zindagī ke dīvāne
niiñd ke jazīre se
ḳhvāb le ke aate haiñ
aur is kī ta.abīreñ
jab kahīñ nahīñ miltīñ
niiñd ke jazīre meñ
phir se lauT jaate haiñ
nind ek jazira hai
jis mein KHwab baste hain
wadiyan hain jhilen hain
murgh-zar-o-gulshan hain
dil-nashin chehre hain
log is jazire mein
KHwab lene jate hain
KHwab zindagani ke
KHwab shadmani ke
KHwab kaamrani ke
jin ki zindagani mein
koi sukh nahin hota
ek jahan-e-mahrumi
jin ke sath chalta hai
nind ke jazire mein
apni sari mahrumi
ja ke bhul jate hain
zindagi ke diwane
nind ke jazire se
KHwab le ke aate hain
aur is ki tabiren
jab kahin nahin miltin
nind ke jazire mein
phir se lauT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.