nind pyari nind
jab khulī āñkhoñ se apne ās-pās
dekhtā huuñ apnī duniyā kis qadar mahdūd-o-tañg
aur phir
ik jāgte lamhe meñ maiñ
band kar letā huuñ apnī aañkh aur
dekhtā huuñ sāmne phailā huā ik jahān-e-be-kanār
dekhtā huuñ apnī hī āñkhoñ se vo saare manāzir
shahr aur ābādiyāñ
saikḌoñ sadiyoñ se jo mahfūz haiñ
kis ko dekhūñ kis ko chhoḌūñ
aisī ik duniyā na jis kā or-chhor
na to samteñ aur hadeñ
aur ufuq nāpaid, ġhā.eb āsmāñ
sochtā huuñ aah merā ye safar kitnā tavīl
fāsle itne ki un kī ab koī manzil nahīñ
tai karūñgā aur thak jā.ūñgā maiñ
aur merī niiñd rūThī hī rahegī taaki maiñ ārām luuñ
khaul detā huuñ ye āñkheñ
aur ab ḳhush huuñ chalo fursat milī is muft kī begār se
kyā batā.ūñ mere andar se us dam
do na.ī āñkheñ nikal kar
merī āñkhoñ kī jagah letī haiñ
phir pahuñch jaatā huuñ us duniyā meñ
jis se bhaag kar aayā thā maiñ
phir vahī saare manāzir shahr aur ābādiyāñ
jaise ik aaseb ban kar mere sar pe chhā ga.iiñ
aah mujh ko khā ga.iiñ
kaash koī vo khulī āñkheñ mujhe vāpas dilā de
maiñ hamesha ke liye ban jā.ūñgā us shaḳhs kā
aaj tak vo shaḳhs merī aañkh se ojhal hai, maiñ
maut tak kyā so sakūñgā
maut hī vo apnī pyārī niiñd hai
jo hamesha ke liye apne musāfir ko sulātī hai
use tohfa atā kartī hai
jis ko ham kabhī ārām kahte kabhī amn-o-sukūñ
maiñ usī kī kaalī zulfoñ kā asiir
maiñ usī apnī dulhan kā muntazir huuñ
jab khuli aankhon se apne aas-pas
dekhta hun apni duniya kis qadar mahdud-o-tang
aur phir
ek jagte lamhe mein main
band kar leta hun apni aankh aur
dekhta hun samne phaila hua ek jahan-e-be-kanar
dekhta hun apni hi aankhon se wo sare manazir
shahr aur aabaadiyan
saikDon sadiyon se jo mahfuz hain
kis ko dekhun kis ko chhoDun
aisi ek duniya na jis ka or-chhor
na to samten aur haden
aur ufuq napaid, ghaeb aasman
sochta hun aah mera ye safar kitna tawil
fasle itne ki un ki ab koi manzil nahin
tai karunga aur thak jaunga main
aur meri nind ruThi hi rahegi taki main aaram lun
khaul deta hun ye aankhen
aur ab KHush hun chalo fursat mili is muft ki begar se
kya bataun mere andar se us dam
do nai aankhen nikal kar
meri aankhon ki jagah leti hain
phir pahunch jata hun us duniya mein
jis se bhag kar aaya tha main
phir wahi sare manazir shahr aur aabaadiyan
jaise ek aaseb ban kar mere sar pe chha gain
aah mujh ko kha gain
kash koi wo khuli aankhen mujhe wapas dila de
main hamesha ke liye ban jaunga us shaKHs ka
aaj tak wo shaKHs meri aankh se ojhal hai, main
maut tak kya so sakunga
maut hi wo apni pyari nind hai
jo hamesha ke liye apne musafir ko sulati hai
use tohfa ata karti hai
jis ko hum kabhi aaram kahte kabhi amn-o-sukun
main usi ki kali zulfon ka asir
main usi apni dulhan ka muntazir hun
- Book : Zindagi Ae Zindagi (Pg. 86)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.