nind
raat ik ghar jal gayā!
ghar jalā to aag meñ
ghar ke sab afrād bhī
jal ke ko.ela ho ga.e
aag ThanDī paḌ ga.ī to
dekhne vāloñ ne dekhā
ghar ke ik hisse meñ jo
bach gayā thā aag se
ek nannhī-munnī bachchī
bheñch kar chhātī se guḌiyā
so rahī thī be-ḳhabar!
raat ek ghar jal gaya!
ghar jala to aag mein
ghar ke sab afrad bhi
jal ke koela ho gae
aag ThanDi paD gai to
dekhne walon ne dekha
ghar ke ek hisse mein jo
bach gaya tha aag se
ek nannhi-munni bachchi
bhench kar chhati se guDiya
so rahi thi be-KHabar!
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 151)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.