nind se pahle
ek din shaam ko bāzār meñ chalte-phirte
sansanāhaT sī huī saare badan meñ mere
saañs bhārī huā siine meñ aTak kar aayā
kuchh qadam aur chalā hūñgā ki chakkar aayā
phir mujhe yaad nahīñ kaise havā.eñ badlīñ
vaqt bāzār samāñ aur fazā.eñ badlīñ
jaane kyuuñ dekh ke bāzār ko Dar aane lagā
be-zarar chīzoñ se bhī ḳhauf-e-zarar aane lagā
jaane kyā aañkh ko bin dekhe nazar aatā thā
ek ek uzv-e-badan ḳhauf se tharrātā thā
jism qaabū meñ na thā siine meñ dil aTkā thā
paañv rakhtā thā kahīñ aur kahīñ paḌtā thā
habs mahsūs huā ThanDā pasīna Tapkā
chaḌh gayā zehn pe dhund aur dhuveñ kā bhapkā
chalnā kaisā ki ghisaTtā huā ghar meñ aayā
mujh se do chaar qadam aage thā merā saaya
kaisā saaya ki har ik lamha badaltā jaa.e
dam-ba-dam ek na.ī shakl meñ Dhaltā jaa.e
kabhī simTe kabhī phaile kabhī sahme kāñpe
kabhī reñge kabhī dauḌe kabhī ruk kar hāñpe
mujh ko yuuñ lagtā thā maiñ jaan rahā huuñ ḳhud ko
us kī har shakl meñ pahchān rahā huuñ ḳhud ko
Darte Darte jo qadam aur baḌhā.e maiñ ne
vahshat-e-rūh ke sāmāñ na.e paa.e maiñ ne
be-sabab har dar-o-dīvār ko barham dekhā
balb meñ chashm-e-ġhazabnāk kā aalam dekhā
kaisī āvāz chalī aatī hai ghar-ghar ghar-ghar
aañkh uThā.ūñ to balā naach rahī hai sar par
haath kursī ne achānak mirī jānib phailā.e
maiñ jo palTā idhar mez ne bhī paañv baḌhā.e
ḳhud-ba-ḳhud jūtoñ meñ harakat huī moze bhāge
kulbulāte hue kiiḌe the kishan ke taage
sarsarāhaT sī yakāyak huī parde ke qarīb
saañp sā reñg rahā thā mire takiye ke qarīb
band ghaḌiyāl meñ bajne lage ik-dam baara
qahqaha mujh pe havāoñ ne achānak maarā
baiThnā chāhā to sofoñ ne dabā kar bhīñchā
bhāgnā chāhā to pardoñ ne pakaḌ kar khīñchā
phir zarā der meñ jaise ki ye sab kuchh bhī na thā
dil ko vahshat thī pa vahshat kā sabab kuchh bhī na thā
ek din sham ko bazar mein chalte-phirte
sansanahaT si hui sare badan mein mere
sans bhaari hua sine mein aTak kar aaya
kuchh qadam aur chala hunga ki chakkar aaya
phir mujhe yaad nahin kaise hawaen badlin
waqt bazar saman aur fazaen badlin
jaane kyun dekh ke bazar ko Dar aane laga
be-zarar chizon se bhi KHauf-e-zarar aane laga
jaane kya aankh ko bin dekhe nazar aata tha
ek ek uzw-e-badan KHauf se tharraata tha
jism qabu mein na tha sine mein dil aTka tha
panw rakhta tha kahin aur kahin paDta tha
habs mahsus hua ThanDa pasina Tapka
chaDh gaya zehn pe dhund aur dhuwen ka bhapka
chalna kaisa ki ghisaTta hua ghar mein aaya
mujh se do chaar qadam aage tha mera saya
kaisa saya ki har ek lamha badalta jae
dam-ba-dam ek nai shakl mein Dhalta jae
kabhi simTe kabhi phaile kabhi sahme kanpe
kabhi renge kabhi dauDe kabhi ruk kar hanpe
mujh ko yun lagta tha main jaan raha hun KHud ko
us ki har shakl mein pahchan raha hun KHud ko
Darte Darte jo qadam aur baDhae main ne
wahshat-e-ruh ke saman nae pae main ne
be-sabab har dar-o-diwar ko barham dekha
balb mein chashm-e-ghazabnak ka aalam dekha
kaisi aawaz chali aati hai ghar-ghar ghar-ghar
aankh uThaun to bala nach rahi hai sar par
hath kursi ne achanak meri jaanib phailae
main jo palTa idhar mez ne bhi panw baDhae
KHud-ba-KHud juton mein harakat hui moze bhage
kulbulate hue kiDe the kishan ke tage
sarsarahaT si yakayak hui parde ke qarib
sanp sa reng raha tha mere takiye ke qarib
band ghaDiyal mein bajne lage ik-dam bara
qahqaha mujh pe hawaon ne achanak mara
baiThna chaha to sofon ne daba kar bhincha
bhagna chaha to pardon ne pakaD kar khincha
phir zara der mein jaise ki ye sab kuchh bhi na tha
dil ko wahshat thi pa wahshat ka sabab kuchh bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.