nine elewen
jab
gard-o-ġhubār kā tūfān merī jānib baḌhne lagā
to mujhe yaad aayā ki
puurī duniyā meñ āñkheñ ek jaise aañsū bahātī haiñ
aag meñ ubaltī huī haDDiyāñ
ek jaisī rañgat iḳhtiyār kar letī haiñ
lahū
jab jam jaatā hai
is ke surḳh se siyāh hone kā daurāniya ek jitnā hotā hai
gard-o-ġhubār ke tūfān ne sab kuchh Dhāñp liyā
magar hiroshima aur nāgā-sākī ke khañDarāt phir se numūdār hone lage haiñ
aur
sarā.iyo baġhdād kābul aur ġhazza kī galiyoñ meñ khelne vaale bachche
merī taraf dekh kar muskurāte haiñ
jab
gard-o-ghubar ka tufan meri jaanib baDhne laga
to mujhe yaad aaya ki
puri duniya mein aankhen ek jaise aansu bahati hain
aag mein ubalti hui haDDiyan
ek jaisi rangat iKHtiyar kar leti hain
lahu
jab jam jata hai
is ke surKH se siyah hone ka dauraniya ek jitna hota hai
gard-o-ghubar ke tufan ne sab kuchh Dhanp liya
magar hiroshima aur naga-saki ke khanDaraat phir se numudar hone lage hain
aur
saraiyo baghdad kabul aur ghazza ki galiyon mein khelne wale bachche
meri taraf dekh kar muskuraate hain
- Book : Duniyazad (Pg. 165)
- Author : Asif Farrakhi
- Publication : AG Printing Services Karachi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.