nirwan
ik ḳhushbū dard-e-sar kī murjhā.ī kaliyoñ ko khilā.e jaatī hai
zehn meñ bichchhū ummīdoñ ke Dañk lagāte haiñ
hichkī le kar phir ḳhud hī mar jaate haiñ
dil kī dhaḌkan sachchā.ī ke talḳh dhueñ ko gahrā kartī paiham baḌhtī jaatī hai
peT meñ bhuuk Dakāreñ letī rahtī hai
phir rag rag meñ sūiyāñ ban kar bhāgī bhāgī phirtī hai
puure jism meñ dard kā ik laavā sā bahtā rahtā hai
aisā mujh ko lagtā hai
jaise maiñ
āḳhirī qai meñ is duniyā kī saarī ġhizā.eñ ḳhvāb o haqīqat kī ālā.ish
ādarshoñ kī mīThī sharābeñ
ik be-ma.anī kashish meñ uljhā
ye jīvan
saarā kā saarā ugal dūñgā
shāyad mujh ko is lamhe nirvān mile
ek KHushbu dard-e-sar ki murjhai kaliyon ko khilae jati hai
zehn mein bichchhu ummidon ke Dank lagate hain
hichki le kar phir KHud hi mar jate hain
dil ki dhaDkan sachchai ke talKH dhuen ko gahra karti paiham baDhti jati hai
peT mein bhuk Dakaren leti rahti hai
phir rag rag mein suiyan ban kar bhagi bhagi phirti hai
pure jism mein dard ka ek lawa sa bahta rahta hai
aisa mujh ko lagta hai
jaise main
aaKHiri qai mein is duniya ki sari ghizaen KHwab o haqiqat ki aalaish
aadarshon ki miThi sharaben
ek be-mani kashish mein uljha
ye jiwan
sara ka sara ugal dunga
shayad mujh ko is lamhe nirwan mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.