yashodhrā thak ke so ga.ī thī
aur rāhul bistar par jāgtā thā
magar siddhārth
mahal se bāhar nikal chukā thā
us kā hirdai badal chukā thā
badan pe gerua libās Daale
vo sīdhā jangal ko jā rahā thā
ye man hī man vo vichārtā thā
ye dhan ye daulat
ye aish-o-ishrat
ye praan kaayā
ye moh maayā
hai sab parāyā
kahīñ nahīñ shāñtī kī chhāyā
kahīñ nahīñ shāñtī kī chhāyā
prabhū ye kyoñ tū ne jag banāyā
ye jag jahāñ jug jugāntar se
anant prānī asankh mānav
kāmnā vāsnā kī agnī meñ jal rahā hai
vo mirgtirishnā ko jal samajh kar
ḳhud aap apne ko chhal rahā hai
dukhoñ ke sahrā meñ chal rahā hai
yahāñ pe jīvan maran bhī dukh hai
birah bhī dukh hai milan bhī dukh hai
sharīr aur aatmā bhī dukh hai
triptī aur tirishnā bhī dukh hai
magar kahīñ moksh kā koī rāsta nahīñ hai
kahīñ bhī nirvān kā koī silsila nahīñ hai
mere bhagvān
maiñ yug ke andhe vishāl ban meñ
kab se nirvān DhūñDhtā huuñ
manush kā kalyān DhūñDhtā huuñ
maiñ apnī pahchān DhūñDhtā huuñ
yashodhra thak ke so gai thi
aur rahul bistar par jagta tha
magar siddhaarth
mahal se bahar nikal chuka tha
us ka hirdai badal chuka tha
badan pe gerua libas Dale
wo sidha jangal ko ja raha tha
ye man hi man wo wichaarta tha
ye dhan ye daulat
ye aish-o-ishrat
ye pran kaya
ye moh maya
hai sab paraya
kahin nahin shanti ki chhaya
kahin nahin shanti ki chhaya
prabhu ye kyon tu ne jag banaya
ye jag jahan jug jugantar se
anant prani asankh manaw
kaamna wasna ki agni mein jal raha hai
wo mirgtirishna ko jal samajh kar
KHud aap apne ko chhal raha hai
dukhon ke sahra mein chal raha hai
yahan pe jiwan maran bhi dukh hai
birah bhi dukh hai milan bhi dukh hai
sharir aur aatma bhi dukh hai
tripti aur tirishna bhi dukh hai
magar kahin moksh ka koi rasta nahin hai
kahin bhi nirwan ka koi silsila nahin hai
mere bhagwan
main yug ke andhe wishaal ban mein
kab se nirwan DhunDhta hun
manush ka kalyan DhunDhta hun
main apni pahchan DhunDhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.