nirwan
maiñ jab andhā ho jā.ūñgā
tab tum merī āñkheñ ban kar
taaza khilne vaale phūloñ
bachchoñ ke gāloñ par utre rangoñ aur
parindoñ ke baare meñ mujhe batānā
jab merī zabāñ par
angāroñ ke chhāj ulTā.e jā.eñge
tab tum milne-julne vāloñ se
daraḳhtoñ se bādaloñ aur sitāroñ se
vo bāteñ karnā jo maiñ ne barsoñ sochīñ
jab mere paaoñ thak jā.eñge
tab tum un pagDanDiyoñ kī ghaas harī rakhnā
jin par mere bachpan aur laḌakpan kī
dhuul abhī tak uḌtī hai
aur maiñ jab mar jā.ūñ to
tum mere māthe par ik bosa
aur siine par ik phuul rakh denā
kyūñki rone-dhone vaale logoñ kī
us bhiiḌ meñ ek tum hī hoñgī
jo mere sukh ko samajh sakogī
main jab andha ho jaunga
tab tum meri aankhen ban kar
taza khilne wale phulon
bachchon ke galon par utre rangon aur
parindon ke bare mein mujhe batana
jab meri zaban par
angaron ke chhaj ulTae jaenge
tab tum milne-julne walon se
daraKHton se baadalon aur sitaron se
wo baaten karna jo main ne barson sochin
jab mere paon thak jaenge
tab tum un pagDanDiyon ki ghas hari rakhna
jin par mere bachpan aur laDakpan ki
dhul abhi tak uDti hai
aur main jab mar jaun to
tum mere mathe par ek bosa
aur sine par ek phul rakh dena
kyunki rone-dhone wale logon ki
us bhiD mein ek tum hi hongi
jo mere sukh ko samajh sakogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.