meñ kapilvastu kā shahzāda nahīñ
dardmandī kī havas
nirvān kī ḳhvāhish
kabhī dil meñ samā.ī bhī nahīñ
maiñ ki bargad ke taqaddus se bhī thā nā-āshnā
aur aaj bhī
chhāñv kī had tak daraḳhtoñ se hai merī dostī
maiñ ik aisā tifl-e-maktab thā
zarā sī bhuul par jo sarzanish ke ḳhauf se
jañgal kī jānib chal paḌe
raah meñ kuchh ham-safar aise mileñ
jo use vidyārthī samjheñ
kuchh aise log bhī
jo use sahmī huī sī chor nazroñ ke sabab
mushtarak dushman kā ik jāsūs samjheñ
aur ishāroñ meñ kahīñ
ye kapilvastu kā shahzāda nahīñ
kyā ḳhabar shāyad manū jī kā koī chelā ho
yā phir chānakya jī kā koī muḳhbir na ho
yuuñ ummīd-o-bīm kā sarhad ke gahre darmiyānī fāsle ko
maiñ ne mushkil se añdherī raat meñ tai kar liyā
aur shārdā ke khañDaroñ tak aa gayā
jab sahar hone ko thī
maiñ shārdā ke khañDaroñ se chal diyā
shārdā kā pul mare qadmoñ meñ thā
tab sipāhī kā pukārā kaun hai
yuuñ visāl-e-sub.h kā armāñ firāq-e-sohbat-e-shab ban gayā
ḳhud farebī aur ḳhush-fahmī ke saare rāste masdūd ho kar rah ga.e
dhyān ne jab dil ko samjhāyā sipāhī kaun thā
ab maiñ qat.an gyaan aur muktī kā dil-dāda nahīñ
maiñ kapilvastu kā shahzāda nahīñ
mein kapilwastu ka shahzada nahin
dardmandi ki hawas
nirwan ki KHwahish
kabhi dil mein samai bhi nahin
main ki bargad ke taqaddus se bhi tha na-ashna
aur aaj bhi
chhanw ki had tak daraKHton se hai meri dosti
main ek aisa tifl-e-maktab tha
zara si bhul par jo sarzanish ke KHauf se
jangal ki jaanib chal paDe
rah mein kuchh ham-safar aise milen
jo use widyarthi samjhen
kuchh aise log bhi
jo use sahmi hui si chor nazron ke sabab
mushtarak dushman ka ek jasus samjhen
aur ishaaron mein kahin
ye kapilwastu ka shahzada nahin
kya KHabar shayad manu ji ka koi chela ho
ya phir chanakya ji ka koi muKHbir na ho
yun ummid-o-bim ka sarhad ke gahre darmiyani fasle ko
main ne mushkil se andheri raat mein tai kar liya
aur shaarda ke khanDaron tak aa gaya
jab sahar hone ko thi
main shaarda ke khanDaron se chal diya
shaarda ka pul mare qadmon mein tha
tab sipahi ka pukara kaun hai
yun visal-e-subh ka arman firaq-e-sohbat-e-shab ban gaya
KHud farebi aur KHush-fahmi ke sare raste masdud ho kar rah gae
dhyan ne jab dil ko samjhaya sipahi kaun tha
ab main qatan gyan aur mukti ka dil-dada nahin
main kapilwastu ka shahzada nahin
- Book : Pakistani Adab (Pg. 180)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.