nirwan
yahī ek lamha
magar zindagī hai
jo sadiyoñ ke
bechain be-ās ḳhvāboñ ke badle
achānak milā hai
so un
reza reza umīdoñ ke madfan pe
maiñ aaj
mātam kunāñ bhī nahīñ huuñ
ki ab
tere milne bichhaḌne kī
koī tamannā
na jiine kī ḳhvāhish na marne kā ġham
maiñ añdheroñ ke har ḳhauf se
māvarā huuñ
ye lamha
ujāloñ kā lamha
mire gird haala kiye hai
duur tak
raushnī ke sivā kuchh nahīñ
kyā yahī
gyaan hai
kyā maiñ
siddhārth huuñ
yahi ek lamha
magar zindagi hai
jo sadiyon ke
bechain be-as KHwabon ke badle
achanak mila hai
so un
reza reza umidon ke madfan pe
main aaj
matam kunan bhi nahin hun
ki ab
tere milne bichhaDne ki
koi tamanna
na jine ki KHwahish na marne ka gham
main andheron ke har KHauf se
mawara hun
ye lamha
ujalon ka lamha
mere gird haala kiye hai
dur tak
raushni ke siwa kuchh nahin
kya yahi
gyan hai
kya main
siddhaarth hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.