nisf shab
tiis saal
zindagī kī nisf shab
nisf shab
jis se vābasta hai ḳhvāboñ kī numūd
ḳhvāb
jin kī kokh meñ
saañs lete aur bhī kuchh ḳhvābche mahfūz haiñ
apne hone kī ḳhabar dete hue
dard kī mahmez kar dete hue
nau-shagufta ḳhvābche
kuchh jāñ-ba-lab ḳhvāb-o-ḳhayāl
tiis saal
zindagī kī nisf shab
aur sub.h-e-nau kā intizār
sub.h-e-nau
jo ho na ho
par intizār ik rasm-e-derīna sahī
chal rahī hai sīna-e-shab par rafū-kārī mudām
zindagī kī nisf shab hone ko hai
gar yahī hai is dil-e-mahjūr ke fan kā maqām
phir yahī jiinā sahī
tis sal
zindagi ki nisf shab
nisf shab
jis se wabasta hai KHwabon ki numud
KHwab
jin ki kokh mein
sans lete aur bhi kuchh KHwabche mahfuz hain
apne hone ki KHabar dete hue
dard ki mahmez kar dete hue
nau-shagufta KHwabche
kuchh jaan-ba-lab KHwab-o-KHayal
tis sal
zindagi ki nisf shab
aur subh-e-nau ka intizar
subh-e-nau
jo ho na ho
par intizar ek rasm-e-derina sahi
chal rahi hai sina-e-shab par rafu-kari mudam
zindagi ki nisf shab hone ko hai
gar yahi hai is dil-e-mahjur ke fan ka maqam
phir yahi jina sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.