kis ne khīñchī haiñ lakīreñ mire darvāze par
kaun hai jo ki dabe paañv chalā aayā hai
mere be-rañg hayūle kā ta.āqub kartā
maiñ to mohtāt thā aisā kahīñ aate jaate
apne saa.e ko bhī pātāl meñ chhoḌ aatā thā
apnā sāmān uThātā to shab-e-nisf-pahar
dast-e-hushyār miTātā mire qadmoñ kā surāġh
jism har saañs kī āvāz muqaffal rakhtā
ḳhaak hī ḳhaak kī ḳhushbū kā tadāruk kartī
jāntā thā nahīñ mahfūz Thikāna merā
log maujūd haiñ jo mujh pe nazar rakhte haiñ
duur nazdīk nihāñ-ḳhānoñ ke andar baiThe
ek harakat ho to sau aks banā lete haiñ
un kī āñkhoñ meñ khaTaktā hai zar-o-māl mirā
tarz-e-tāmīr mirī mimbar-o-mehrāb mire
un ke ahdāf haiñ dīvār-o-dar-o-bāb mire
aur ik gauhar-e-nāyāb ki tah-ḳhāne meñ
havas-e-dil ko hai asbāb pareshānī kā
merī dīvāngī o vahshat o hairānī par
mujh pe māmūr kuhan-sāl sagān-e-ḳhufta
kal kisī sā.at-e-kamzor kī tārīkī meñ
is kamīñ-gāh meñ sūrāḳh se dar aa.e the
duur dālān ke kone meñ khaḌe hañste haiñ
kis ne khinchi hain lakiren mere darwaze par
kaun hai jo ki dabe panw chala aaya hai
mere be-rang hayule ka taaqub karta
main to mohtat tha aisa kahin aate jate
apne sae ko bhi patal mein chhoD aata tha
apna saman uThata to shab-e-nisf-pahar
dast-e-hushyar miTata mere qadmon ka suragh
jism har sans ki aawaz muqaffal rakhta
KHak hi KHak ki KHushbu ka tadaruk karti
jaanta tha nahin mahfuz Thikana mera
log maujud hain jo mujh pe nazar rakhte hain
dur nazdik nihan-KHanon ke andar baiThe
ek harakat ho to sau aks bana lete hain
un ki aankhon mein khaTakta hai zar-o-mal mera
tarz-e-tamir meri mimbar-o-mehrab mere
un ke ahdaf hain diwar-o-dar-o-bab mere
aur ek gauhar-e-nayab ki tah-KHane mein
hawas-e-dil ko hai asbab pareshani ka
meri diwangi o wahshat o hairani par
mujh pe mamur kuhan-sal sagan-e-KHufta
kal kisi saat-e-kamzor ki tariki mein
is kamin-gah mein suraKH se dar aae the
dur dalan ke kone mein khaDe hanste hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.