nishat-ussaniya
ye maanā ki saare mazāhir haiñ fitrī
magar koī pūchhe havāoñ se
be-mehr kyuuñ laatī hai patte
harī Dāliyoñ se
zamīñ karvaTeñ kyuuñ badaltī hai
laave ugaltī hai kyuuñ
bastiyāñ raakh hotī haiñ
bah jaate haiñ gaañv ke gaañv
jab taish meñ dauḌtā hai samundar hadeñ bhuul kar
bijliyāñ TuuT paḌtī haiñ kyuuñ ḳhirmanoñ par
gahan chāñd sūraj pe chhātā hai kyuuñ
rū-ba-rū hone ko kyuuñ machal uThte haiñ
fāsloñ meñ baTe
dūr-uftāda sayyāre
taare zamīñ chuum lete haiñ kyuuñ
isī kurra-e-arz par
chand miTTī ke tode
baḌī der se muntazir haiñ
kisī aise bartāo ke
jo badal de sarāpā
vo afa.āl jin se ibārat taharruk
vo āsār jin se qayāmat huvaidā
pa.e-qahr yā mehr
is pal
isī ek pal meñ
machal jaa.e fitrat
ye mana ki sare mazahir hain fitri
magar koi puchhe hawaon se
be-mehr kyun lati hai patte
hari Daliyon se
zamin karwaTen kyun badalti hai
lawe ugalti hai kyun
bastiyan rakh hoti hain
bah jate hain ganw ke ganw
jab taish mein dauDta hai samundar haden bhul kar
bijliyan TuT paDti hain kyun KHirmanon par
gahan chand suraj pe chhata hai kyun
ru-ba-ru hone ko kyun machal uThte hain
faslon mein baTe
dur-uftada sayyare
tare zamin chum lete hain kyun
isi kurra-e-arz par
chand miTTi ke tode
baDi der se muntazir hain
kisi aise bartao ke
jo badal de sarapa
wo afaal jin se ibarat taharruk
wo aasar jin se qayamat huwaida
pae-qahr ya mehr
is pal
isi ek pal mein
machal jae fitrat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.