no need of password
ham mohabbat kā password note-notepad par likh kar bhuul ga.e haiñ
magar terī āñkheñ na jaane kis jādūī mantar ke nam se dhulī haiñ
ki asiir kar letī haiñ mere dil kī dhaḌkanoñ ko apnī palkoñ kī larzish meñ
kisī password ke baġhair
jaise chāñd kī chāñdnī ko
raat apnī āġhosh meñ sameT letī hai
merī mohabbat apnī pyaas bujhātī hai
havā ke rath par savār ho kar sitāroñ kī oT meñ tumhārī
be-harf-o-saut ḳhud-kalāmī se ham-kalām ho kar
magar sūraj kī kirnoñ kī chubhan bikher detī hai us ḳhud-kalāmī ko din ke sahrā meñ
aañkh khul jaatī hai
aur kamra tere na hone ke dukh meñ Dagmagāne lagtā hai
kaash koī mahal-sarā ho jis kā chor darvāza
mujhe tujh se milāne vaale rāste kī taraf aap hī aap khul jaa.e
jahāñ ghane sabz aur phaldār daraḳhtoñ meñ pariyoñ kā hujūm istiqbāliya raqs ke urūjī marhale ko chhū rahā hai
mere sāhir
āsmān kī chhalnī se jhāñktī huī sitāroñ kī muskurāhaT kī qasam
terī āñkhoñ kī tapish se ek surma.ī laḌkī kī zaat pighalne lagī hai
aur ye vasl-āmez kohar hamārī ragoñ meñ dhīre dhīre sarāyat karne lagī hai
mere sāhir
mere shā.ir
password kī zarūrat nahīñ
hum mohabbat ka password note-notepad par likh kar bhul gae hain
magar teri aankhen na jaane kis jadui mantar ke nam se dhuli hain
ki asir kar leti hain mere dil ki dhaDkanon ko apni palkon ki larzish mein
kisi password ke baghair
jaise chand ki chandni ko
raat apni aaghosh mein sameT leti hai
meri mohabbat apni pyas bujhati hai
hawa ke rath par sawar ho kar sitaron ki oT mein tumhaari
be-harf-o-saut KHud-kalami se ham-kalam ho kar
magar suraj ki kirnon ki chubhan bikher deti hai us KHud-kalami ko din ke sahra mein
aankh khul jati hai
aur kamra tere na hone ke dukh mein Dagmagane lagta hai
kash koi mahal-sara ho jis ka chor darwaza
mujhe tujh se milane wale raste ki taraf aap hi aap khul jae
jahan ghane sabz aur phaldar daraKHton mein pariyon ka hujum istiqbaaliya raqs ke uruji marhale ko chhu raha hai
mere sahir
aasman ki chhalni se jhankti hui sitaron ki muskurahaT ki qasam
teri aankhon ki tapish se ek surmai laDki ki zat pighalne lagi hai
aur ye wasl-amez kohar hamari ragon mein dhire dhire sarayat karne lagi hai
mere sahir
mere shair
password ki zarurat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.