nok-jhonk
bhaa.ī
mujh se har dam laḌtī ho
ek kī sau sau jaḌtī ho
apnī zaat ko bhūlī ho
tum to bilkul muulī ho
bahan
maiñ ye baat nahīñ bhūlī
hāzim hotī hai muulī
bhaa.ī ho yā dushman ho
tum thālī ke beñgan ho
bhaa.ī
beñgan achchhā hai bahnā
be-gun is ko mat kahnā
tum ho aafat chhoTī sī
tum ho bhinDī moTī sī
bahan
bhinDī kī kyā baat hai jī
ūñchī is kī zaat hai jī
tum sabzī ke ḳhālū ho
ik duble se aalū ho
bhaa.ī
sab khānoñ kā khājā hai
aalū sab kā raajā hai
merī sister ho tum bhī
moTī gājar ho tum bhī
bahan
gājar sehat detī hai
dil ko tāqat detī hai
mīThā halva gājar kā
tum ho ruup TamāTar kā
bhaa.ī
jo bhī TamāTar khātā hai
apnī jaan banātā hai
is kā ras jo piite haiñ
tagḌe ho kar jiite haiñ
bahan
ḳhatm karo khaTpaT saarī
achchhī hai har tarkārī
band ye saarā khel kareñ
aao ham tum shukr kareñ
bhai
mujh se har dam laDti ho
ek ki sau sau jaDti ho
apni zat ko bhuli ho
tum to bilkul muli ho
bahan
main ye baat nahin bhuli
hazim hoti hai muli
bhai ho ya dushman ho
tum thaali ke bengan ho
bhai
bengan achchha hai bahna
be-gun is ko mat kahna
tum ho aafat chhoTi si
tum ho bhinDi moTi si
bahan
bhinDi ki kya baat hai ji
unchi is ki zat hai ji
tum sabzi ke KHalu ho
ek duble se aalu ho
bhai
sab khanon ka khaja hai
aalu sab ka raja hai
meri sister ho tum bhi
moTi gajar ho tum bhi
bahan
gajar sehat deti hai
dil ko taqat deti hai
miTha halwa gajar ka
tum ho rup TamaTar ka
bhai
jo bhi TamaTar khata hai
apni jaan banata hai
is ka ras jo pite hain
tagDe ho kar jite hain
bahan
KHatm karo khaTpaT sari
achchhi hai har tarkari
band ye sara khel karen
aao hum tum shukr karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.