intiqam
us kā chehra, us ke ḳhadd-o-ḳhāl yaad aate nahīñ
ik shabistāñ yaad hai
ik barhana jism ātish-dāñ ke paas
farsh par qālīn, qālīnoñ pe sej
dhaat aur patthar ke but
gosha-e-dīvār meñ hañste hue!
aur ātish-dāñ meñ añgāroñ kā shor
un butoñ kī be-hisī par ḳhashm-gīñ
ujlī ujlī ūñchī dīvāroñ pe aks
un farañgī hākimoñ kī yādgār
jin kī talvāroñ ne rakkhā thā yahāñ
sañg-e-buniyād-e-farañg!
us kā chehrā us ke ḳhadd-o-ḳhāl yaad aate nahīñ
ik barhana jism ab tak yaad hai
ajnabī aurat kā jism,
mere hoñToñ ne liyā thā raat bhar
jis se arbāb-e-vatan kī be-hisī kā intiqām
vo barhana jism ab tak yaad hai!
us ka chehra, us ke KHadd-o-KHal yaad aate nahin
ek shabistan yaad hai
ek barhana jism aatish-dan ke pas
farsh par qalin, qalinon pe sej
dhat aur patthar ke but
gosha-e-diwar mein hanste hue!
aur aatish-dan mein angaron ka shor
un buton ki be-hisi par KHashm-gin
ujli ujli unchi diwaron pe aks
un farangi hakimon ki yaadgar
jin ki talwaron ne rakkha tha yahan
sang-e-buniyaad-e-farang!
us ka chehra us ke KHadd-o-KHal yaad aate nahin
ek barhana jism ab tak yaad hai
ajnabi aurat ka jism,
mere honTon ne liya tha raat bhar
jis se arbab-e-watan ki be-hisi ka intiqam
wo barhana jism ab tak yaad hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.