KHud-kushi
kar chukā huuñ aaj azm-e-āḳhirī
shaam se pahle hī kar detā thā maiñ
chaaT kar dīvār ko nok-e-zabāñ se nā-tavāñ
sub.h hone tak vo ho jaatī thī dobāra buland,
raat ko jab ghar kā ruḳh kartā thā maiñ
tīrgī ko dekhtā thā sar-nigūñ
muñh basore rahguzāroñ se lipaTte, sogvār
ghar pahuñchtā thā maiñ insānoñ se uktāyā huā
merā azm-e-āḳhirī ye hai ke maiñ
kuud jā.ūñ sātvīñ manzil se aaj!
aaj maiñ ne pā liyā hai zindagī ko be-naqāb,
aatā jaatā thā baḌī muddat se maiñ
ek ishva-sāz o harzah-kār mahbūba ke paas
us ke Taḳht-e-ḳhvāb ke nīche magar
aaj maiñ ne dekh paayā hai lahū
taaza o raḳhshāñ lahū,
bū-e-mai meñ bū-e-ḳhūñ uljhī huii!
vo abhī tak ḳhvāb-gah meñ lauT kar aa.ī nahīñ
aur maiñ kar bhī chukā huuñ apnā azm-e-āḳhirī!
jī meñ aa.ī hai lagā duuñ ek bebākāna jast
us darīche meñ se jo
jhāñktā hai sātvīñ manzil se kū-e-bām ko!
shaam se pahle hī kar detā thā maiñ
chaaT kar dīvār ko nok-e-zabāñ se nā-tavāñ
sub.h hone tak vo ho jaatī thī dobāra buland
aaj to āḳhir ham-āġhosh-e-zamīñ ho jā.egī!
kar chuka hun aaj azm-e-aKHiri
sham se pahle hi kar deta tha main
chaT kar diwar ko nok-e-zaban se na-tawan
subh hone tak wo ho jati thi dobara buland,
raat ko jab ghar ka ruKH karta tha main
tirgi ko dekhta tha sar-nigun
munh basore rahguzaron se lipaTte, sogwar
ghar pahunchta tha main insanon se uktaya hua
mera azm-e-aKHiri ye hai ke main
kud jaun satwin manzil se aaj!
aaj main ne pa liya hai zindagi ko be-naqab,
aata jata tha baDi muddat se main
ek ishwa-saz o harzah-kar mahbuba ke pas
us ke TaKHt-e-KHwab ke niche magar
aaj main ne dekh paya hai lahu
taza o raKHshan lahu,
bu-e-mai mein bu-e-KHun uljhi hui!
wo abhi tak KHwab-gah mein lauT kar aai nahin
aur main kar bhi chuka hun apna azm-e-aKHiri!
ji mein aai hai laga dun ek bebakana jast
us dariche mein se jo
jhankta hai satwin manzil se ku-e-baam ko!
sham se pahle hi kar deta tha main
chaT kar diwar ko nok-e-zaban se na-tawan
subh hone tak wo ho jati thi dobara buland
aaj to aaKHir ham-aghosh-e-zamin ho jaegi!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.