nowember se december tak part 2
december aa gayā jānāñ
vahī kāġhaz kā TukḌā
ab bhī mere haath meñ hī hai
jo pal pal mujh ko
us vīrān sannāTe kī jānib khīñch letā hai
abhī bhī dhuup meñ bāhar nikalne
par ajab sī koft hotī hai
maiñ apne naam ke a se
bhī aage aa chukā huuñ ab
aur ab ye sochtā huuñ
kyā karūñgā in kitāboñ kā
jo tum ne chhoḌ dī thiiñ
biich meñ hī mujh ko paḌhne ko
baḌā māyūs hai nietzsche
baḌā hairān hai kaamū
tumhāre lauT jaane se
bahut vīrān apnā campus hai
yaar dekho tum
vahāñ ke phuul kyā ab bhī
khile aur khil rahe hoñge
vahāñ kī shaam kyā ab bhī
tumhārī muntazir hogī
chalo ye sab yahīñ chhoḌo
mujhe ab ye batāo tum
ki coffē ab bhī vaise hī
binā shakkar ke piitī ho
ki ab bhī bhuul jaatī ho
dupaTTa saath lenā tum
ki ab bhī muskurātī ho
'farāz' aur 'faiz' ko paḌh kar
ki ab bhī apne kamre meñ
paḌe us āḳhirī ḳhat ko
udāsī se bharī āñkhoñ se
ab bhī paḌh rahī hoñgī
ki ab bhī
ḳhair chhoḌo jaane do bas ho gayā jānāñ
december aa gaya jaanan
wahi kaghaz ka TukDa
ab bhi mere hath mein hi hai
jo pal pal mujh ko
us viran sannaTe ki jaanib khinch leta hai
abhi bhi dhup mein bahar nikalne
par ajab si koft hoti hai
main apne nam ke a se
bhi aage aa chuka hun ab
aur ab ye sochta hun
kya karunga in kitabon ka
jo tum ne chhoD di thin
bich mein hi mujh ko paDhne ko
baDa mayus hai nietzsche
baDa hairan hai kaamu
tumhaare lauT jaane se
bahut viran apna campus hai
yar dekho tum
wahan ke phul kya ab bhi
khile aur khil rahe honge
wahan ki sham kya ab bhi
tumhaari muntazir hogi
chalo ye sab yahin chhoDo
mujhe ab ye batao tum
ki coffee ab bhi waise hi
bina shakkar ke piti ho
ki ab bhi bhul jati ho
dupaTTa sath lena tum
ki ab bhi muskuraati ho
'faraaz' aur 'faiz' ko paDh kar
ki ab bhi apne kamre mein
paDe us aaKHiri KHat ko
udasi se bhari aankhon se
ab bhi paDh rahi hongi
ki ab bhi
KHair chhoDo jaane do bas ho gaya jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.