nukta-farsai
har koī kāfir-garoñ meñ nafra-o-nammām hai
merī āñkheñ dekhtī haiñ un kā jo anjām hai
kyā kahūñ kyā gul khilā.e haiñ abul-barkāt ne
fitna-ārā.ī musalmānoñ meñ us kā kaam hai
duḳhtarān-e-mulk-o-millat raqs farmātī rahīñ
is na.ī tahzīb meñ culture isī kā naam hai
rañDiyāñ na.at-e-nabī par nukta-farsā.ī kareñ
tū kahāñ ai intiqām-e-gardish-e-ayyām hai
gā.ikī ke zer-o-bam se ham bhalā kyā āshnā
radio kā ham ġharīboñ par baḌā in.aam hai
nasl-e-nau kī puḳhtagī-e-fan kā farmūda hai ye
agle vaqtoñ ke buzurgoñ kī firāsat ḳhaam hai
ḳhvāja-e-kaunain kī chashm-e-karam ke faiz se
merā har har sher 'shorish' pāra-e-ilhām hai
har koi kafir-garon mein nafra-o-nammam hai
meri aankhen dekhti hain un ka jo anjam hai
kya kahun kya gul khilae hain abul-barkat ne
fitna-arai musalmanon mein us ka kaam hai
duKHtaran-e-mulk-o-millat raqs farmati rahin
is nai tahzib mein culture isi ka nam hai
ranDiyan nat-e-nabi par nukta-farsai karen
tu kahan ai intiqam-e-gardish-e-ayyam hai
gaiki ke zer-o-bam se hum bhala kya aashna
radio ka hum gharibon par baDa inam hai
nasl-e-nau ki puKHtagi-e-fan ka farmuda hai ye
agle waqton ke buzurgon ki firasat KHam hai
KHwaja-e-kaunain ki chashm-e-karam ke faiz se
mera har har sher 'shorish' para-e-ilham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.