numaish-gah
raat gardish meñ hai zamīñ kī tarah
raushnī dā.era banātī hai
raushnī jis kī sard bāñhoñ meñ
ek tārīḳh phaḌphaḌātī hai
qumqume haiñ ki āñsūoñ kī lakīr
halqa-ārā hai sūrat-e-zanjīr
kho ga.ī hai na jaane ruuh kahāñ
jaise har aadmī hai ik tasvīr
rang-o-roġhan hai biich kī dīvār
us taraf kaun dekhne jaa.e
sat.h se kaun ho buland itnā
sochnā ye hai paañv ke nīche
jab na hogī zamīñ to kyā hogā
kaun naape diloñ kī gahrā.ī
kārvāñ kārvāñ hai tanhā.ī
chehre āñkhoñ se ruḳh bachā.e hue
jism dil se nazar churā.e hue
ik dhuāñ nutq se samā.at tak
raakh ke Dher bujhte sīnoñ meñ
ik sharar bhī nahīñ jabīnoñ meñ
ḳhvāh marham mile na zaḳhmoñ ko
paTTiyoñ ko libās kahne do
ek hairat-farosh vīrānī
ek mahshar-tarāz sannāTā
qahqahoñ ke nahīf kāñdhoñ par
bojh faulād kī chaTānoñ kā
zindagī biktī hai dukānoñ meñ
maut ḳhalvat-guzīñ hai jānoñ meñ
raat gardish meñ hai zamīñ kī tarah
raushnī dā.era banātī hai
raushnī jis kī sard bāñhoñ meñ
ek tārīḳh phaḌphaḌātī hai
chhan chhanā chhan kī zahr-afshāñ guuñj
ye thirakte badan machaltī ruuh
bhuuk kā raqs raqs noToñ kā
raqs jaltī sulagtī choToñ kā
kaun dekhe ye raqs jis ke liye
bheñT āñkhoñ kī shart avval hai
kis ko āñkhoñ se apnī pyaar nahīñ
aur ye raqs to anokhā hai
dil kī āñkheñ bhī maañg letā hai
raqs jaarī hai ik zamāne se
raqs dhartī kā ruk sakā na kabhī
nāchtā vaqt nāchte lamhāt
aadmī ko nachā.e jaate haiñ
sā.ateñ haiñ ki bain kā naġhma
zindagī hai ki jhūmtā huā naag
dil dhaḌakte haiñ DhūñDhtī hai nigāh
aur saperā nazar nahīñ aatā
dard kā zahr kaun utāregā
kaun phūñkegā naag kā mantar
tan kā bas kaise duudh tak pahuñche
naag ko jhūmtā hī rahne do
bain kī aag yūñhī bahne do
biit jaa.e isī tarah kuchh vaqt
aur saperā kahīñ se aa jaa.e
baat itnī magar baḌhā.eñ kyoñ
ik saperā ḳharīd leñ ham bhī
in dukānoñ kā aur hāsil kyā
in dukānoñ meñ kyā nahīñ biktā
kyoñ sapere kā intizār kareñ
baat bantī hai chand sikkoñ meñ
varna biknā paḌe na ḳhud ham ko
ye zamāna hai misr kā bāzār
kaam kis ke payambarī aa.ī
sab se ūñchī hai yaañ zuleḳhā.ī
raat gardish mein hai zamin ki tarah
raushni daera banati hai
raushni jis ki sard banhon mein
ek tariKH phaDphaDati hai
qumqume hain ki aansuon ki lakir
halqa-ara hai surat-e-zanjir
kho gai hai na jaane ruh kahan
jaise har aadmi hai ek taswir
rang-o-roghan hai bich ki diwar
us taraf kaun dekhne jae
sath se kaun ho buland itna
sochna ye hai panw ke niche
jab na hogi zamin to kya hoga
kaun nape dilon ki gahrai
karwan karwan hai tanhai
chehre aankhon se ruKH bachae hue
jism dil se nazar churae hue
ek dhuan nutq se samaat tak
rakh ke Dher bujhte sinon mein
ek sharar bhi nahin jabinon mein
KHwah marham mile na zaKHmon ko
paTTiyon ko libas kahne do
ek hairat-farosh virani
ek mahshar-taraaz sannaTa
qahqahon ke nahif kandhon par
bojh faulad ki chaTanon ka
zindagi bikti hai dukanon mein
maut KHalwat-guzin hai jaanon mein
raat gardish mein hai zamin ki tarah
raushni daera banati hai
raushni jis ki sard banhon mein
ek tariKH phaDphaDati hai
chhan chhana chhan ki zahr-afshan gunj
ye thirakte badan machalti ruh
bhuk ka raqs raqs noTon ka
raqs jalti sulagti choTon ka
kaun dekhe ye raqs jis ke liye
bhenT aankhon ki shart awwal hai
kis ko aankhon se apni pyar nahin
aur ye raqs to anokha hai
dil ki aankhen bhi mang leta hai
raqs jari hai ek zamane se
raqs dharti ka ruk saka na kabhi
nachta waqt nachte lamhat
aadmi ko nachae jate hain
saaten hain ki bain ka naghma
zindagi hai ki jhumta hua nag
dil dhaDakte hain DhunDhti hai nigah
aur sapera nazar nahin aata
dard ka zahr kaun utarega
kaun phunkega nag ka mantar
tan ka bas kaise dudh tak pahunche
nag ko jhumta hi rahne do
bain ki aag yunhi bahne do
bit jae isi tarah kuchh waqt
aur sapera kahin se aa jae
baat itni magar baDhaen kyon
ek sapera KHarid len hum bhi
in dukanon ka aur hasil kya
in dukanon mein kya nahin bikta
kyon sapere ka intizar karen
baat banti hai chand sikkon mein
warna bikna paDe na KHud hum ko
ye zamana hai misr ka bazar
kaam kis ke payambari aai
sab se unchi hai yan zuleKHai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.